Zainab Kalam-e-Paak Ki Ayat Ka Naam Hai
Zainab Kalam-e-Paak Ki Ayat Ka Naam Hai
Zainab Hassan Hussain Ki Chahat Ka Naam Hai
Zainab Farogh-e-Deen Ki Hifazat Ka Naam Hai
Zainab Tau Panjetan Ki Taharat Ka Naam Hai
Jin Ki Rida Ke Sayay Mein Jo Bacchay Pal Gayay
Wo Kainat-e-Sabr Se Agay Nikal Gaye

Jis Ne Qadam Qadam Pe Sambhala Imam Ko
Mitnay Diya Na Pyasay Shaheedon Ke Naam Ko
Dunya Bhula Sakay Gi Na Jis Ke Kalam Ko
Ashkon Se Jis Ne Phoonk Diya Mulk-e-Shaam Ko
Baqi Jahan Mein Ashhado An La Ilah Hai
Ab Tak Har Eik Yazeed Ka Chehra Siyaha Hai

Khutbay Ke Lafz Lafz Ko Talwar Kar Diya
Jina Yazeed-e-Nahas Ka Dushwar Kar Diya
Thokar Se Qasr-e-Shaam Ko Mismar Kar Diya
Islam Ke Safinay Ko Us Paar Kar Diya
Aabaad Alqama Pe Hai Basti Shaheed Ki
Khushki Mein Garq Ho Gayee Kashti Yazeed Ki

Qalb-e-Rasool-e-Paak Ko Jo Shaad Kar Gayee
Mehnat Ameer-e-Shaam Ki Barbad Kar Gayee
Dil Ko Gham-e-hussain Se Aabaad Kar Gayee
Bandhwa Ke Haath Qaum Ko Azaad Kar Gayee
Zakhmi Kya Dimaghon Ko Khutbay Ke Waar Se
Bai’at Ko Qatl Kar Diya Lehjay Ki Dhaar Se

Jis Ki Misal Milti Nahin Qainat Mein
Laghzish Na Aanay Di Kabhi Paa-e-Sabaat Mein
Kitna Na Jaanay Zor Tha Zainab Ki Baat Mein
Bai’at Ko Garq Kar Diya Nehr-e-furaat Mein
Zainab Aseer Ho Ke Jidhar Se Guzar Gayee
Qaumon Ko Waqif-e-Gham-e-Shabeer Kar Gayee

Jo Patharon Ki Bheer Mein Almas Ban Gayee
Baad-e-Hussain Bachchon Ki Jo Aas Ban Gayee
Kausar Kabhi Bani Tau Kabhi Pyaas Ban Gayee
Darbar-e-Shaam Aya Tau Abbas Ban Gayee
Pairon Ke Aablon Se Jo Khanjar Kuchal Gayee
Jo Fikr Ki Hadon Se Bhi Aagay Nikal Gayee

Koyee Mila Jawab Na Khutbay Ke Waar Ka
Sar Jhuk Gaya Haya Se Har Ik Naabkaar Ka
Yun Hausla Nikala Dil-e-Beqaraar Ka
Khutbon Se Apnay Kaam Liya Zulfiqaar Ka
Maatam Se Zalimon Ke Dilon Ko Hila Diya
Darbar-e-Shaam Taziya Khana Bana Diya

Jis Ne Ghuroor-e-Shaam Ke Khaibar Ko Dha Diya
Soyay Huway Zameer Ko Jis Ne Jaga Diya
Bai’at Ka Naam Khaak Mein Jis Ne Mila Diya
Jis Ne Gham-e-Hussain Ka Sikka Chala Diya
Do Haath Aagay Barh Gayee Jo Zulfiqaar Se
Nasl-e-Yazeed Kaat Di Chadar Ki Dhaar Se

Zainab Dil-e-Hussain Ki Dharkan Ka Naam Hai
Zainab Aqeedaton Ke Nasheman Ka Naam Hai
Zainab Rasool-e-Paak Ke Gulshan Ka Naam Hai
Zainab Raza Hayat Ke Daaman Ka Naam Hai
Jis Ne Gham-e-hussain Muqaddar Bana Diya
Aankhon Ko Jis Ne Chashma-e-Kausar Bana Diya

2,739 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot