Zainab Hai Pareshan
zainab hai pareshan ay raat zara tham ja
rok sehar ko aane se tu kehte hai tujhse mere aansu
rakhle pardesi ka parda rehne de andhiyara na jaa
ay raat zara….
zakhmi kano ki ek bachi shiddat-e-gham se so na sakegi
daudegi wo jaanibe maqtal thokar khati dukhiya na jaa
ay raat zara….
bewa hogi dulhan aise jiske haath may taaza mehndi
bain karegi aahein bharegi kehkar dulha dulha na jaa
ay raat zara….
acha itni dayr tu ruk ja jab ho safar zindan ko mera
shaam talak tu saath may rehna bankar mera parda na jaa
ay raat zara….
raat magar rehan na tehri kehti thi zainab bechari
aayi raza wo subhe shahadat suraj kyonkar kehta na jaa
ay raat zara….
1,850 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot