Yeh Daard Sakina Ko Tah Hashar Rulaye Gah
Yeh Daard Sakina Ko Tah Hashar Rulaye Gah.

Asghar Ka Paani Peena, Baba Ka Zakhmi Seena, Issay Bhool Na Paaye Gah.
 
Zindan Ki Tanhayi Din Raat Rulati Hai
Ab Tak Bhi Khayalon Main Asghar Ko Bulati Hai
Yeh Ghum Nahin Bhula Bhayi Ka Khali Jhoola
Ab Kon Jhulaye Gah.
 
Shabbir Kay Haathon Peh Islam Ka Baani Hai
Sharminda Sakina Say Dariyaon Ka Paani Hai
Hurmal Ka Teer Dekho Asghar Ki Kis Tarah Say
Ub Pyaas Bhujaye Gah.
 
Sadaat Peh Karbal Main Shaam-e-Ghareeban Aayi
Maqtal Main Sakina Yeh Daiti Rayhi Dhuayi
Ujray Howay Is Ran Main Baba Teray Lashay Ko
Ab Kaun Uthaye Gah.
 
Bazaar Main Rooti Ti Darbaar Main Rooti Ti
Ab Khakh Hi Bistar Hai Jo Seenay Peh Sooti Ti
Teray Baad Meray Mola Ab Kaun Sakina Ko
Seenay Peh Sulaye Gah.
 
Masooma Ka Ghum Likhna Shahid Ki Ibaadat Hai
Hum Kartay Hain Saab Mataam Bibi Ki Inayaat Hai
Zahra Ka Yeh Wada Hai Woh Jayega Jaanat Main
Jo Ashk Bahay Ga.

1,002 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot