Ye Matam Sada Rahay Aur Iss Sai Siva Rahay
Ye Matam Sada Rahay Aur Iss Sai Siva Rahay.

Ye Farsh-e-Aza-e-Sibtai Nabhi Ta Mehshar Bicha Rahay.

Kitni Hi Uthai, Zulmat Ki Ghata
Ho Kitni Hi Tareek Fiza
Bujhnay Nahi Paaey Shammay Aza
Kitnay Hi Uthain Toofaan Magar Roshan Yai Diya Rahay.

Aik Nasal Hatay, Aik Nasal Barhay
Aik Shamma Bujhay Aik Shamma Jalay
Shabbir Ka Matam Hota Rahay
Naslam Baday Naslin Yoonhi, Jaari Silsila Rahay.

Kat Tai Rahain Sar, Luthay Rahain Ghaar
Dhaati Rahai Dunya Zulm Magar
Chootai Na Kabhi Shabbir Ka Ghaar
Shabbir Kai Gham Sai Aalam Ka Har Gosha Sada Rahai.

Yai Zulm-o-Situm, Yai Joar-o-Jafa
Kya Rokaingai Rasta Tera
Barh Aur Do Alaam Parcha Ja
Ta Arsh Zameen Par Chaee Huwi, Matam Ki Ghata Rahai.

Gham Khuwaar-e-Shah-e-Abrar Hai Hum,
Baatil Kai Liyai Talwaar Hai Hum,
Tareekh Ka Wo Kirdaar Hai Hum,
Marsaktay Hain Mit Saktay Nahi, Zehnon’ Main Zara Rahay.

Hum Paltai Rahay Toofanon’ Main
Behtai Rahay Khoon Ki Dhaaron’ Main
Choonwaaey Gaey Deewaron Main, 
Khud Mit Gaey Baani-e-zulm Magar, Hum Ahlay-aza Rahay.

Khoon-e-Dil Sai, Haan Ahlay Aza
Har Moar Sai Ta’aba Karbobala
Roshan Rakho Aik Aik Zarra
Har Aanay Walay Hurr Kai Liyai, Yai Rasta Khula Rahay.

Kitnon’ Kai Chehrai Utar Gaey
Yai Hukm Jub Aaya Jis Jis Kai
Masjid Main Hain Khultai Darwaazay
Sab Band Hon’ Bas Aik Zahra Ka Darwaaza Khula Rahay.

Thak Haar Kai Laskhar Lot Aaya
Sar Maar Gaey Khaibar Na Huwa
Di Hans Kai Sada Ahmad Nai Kai Aah, 
Ai Dast-e-Khuda Khaibar Dar Khaibar Kai, Hain Tuj Ko Bularahay.

Sookhay Huway Lab, Halmin Ki Sada
Tareekh Bhula Sakti Hai Bhala
Kya Alam-e-ghurbat Hai Ba Khuda
Hai Kon Situm Seh Kar Itnai, Raazi Ba Raza Rahay.

1,646 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot