Yeh Khat Mein SHAH (ASWS) Ne Likha Habib (As) Aajaao…..3
Tumhara Dost Hai Tanha……2…… Habib Aajaao
Yeh Khat Mein SHAH (ASWS) Ne Likha Habib (As) Aajaao…..2
Shaheed Kaise Hua Kaise Hua Woh, Bataonge Aakar,
Tum Haal E MUSLIM (ASWS) E Bekas Sunaonge Aa Kar,
RUKAIYA (SAWS) Taqti Hai Rasta……2….. Habib (As) Aajaao,
Lago Is Se Bhi Ehsas Mere Gurbat Ke,
Jahan Pe Ibne ALI (ASWS) Likhna Tha Wahan Maine,
Diya Hai MAAN (SAWS) Ka Hawala……2…… Habib (As) Aajaao,
Bata Raha Tha Ushe Koi , Nahi Hai Mera
To Boli SANI E ZEHRA (SAWS), Habib (As) Aayega
Hai Usko Tum Pe Bharosa ……2…… Habib (As) Aa Jaao,
Woh Jub Yeh Sunti Hai Kufe Se Aa Rahe Hai Shaki,
To Poochti Hai Hamara Bhi Aaiyenga Koi,
Duaen Dengi SAKINA (SAWS) …..2….. Habib (As) Aajaao,
Gawara Kar Nahi Sakti HUSAIN (ASWS) Ki Gairat,
Tumhari Zauja Ki Chadar Ko Lootle Umat,
Tum Usko Chodh Ke Kufa…..2….. Habib (As) Aajaao,
Mujhe Hai Yaad Woh Lamha, Jo RAB (SWT) Ki Marzi Se,
Tum Ho Ke Zinda Meri Baat Sunne Aaye The
Bula Raha Hun Dobara……2….. Habib (As) Aajaao,
Dar E BATOOL (SAWS), Dobara Jalaya Jaieng,
Tumhare Dost Pe Khanjar Chalaya Jaienga,
Nahi Hai Waqt Ziyada……2….. Habib (As) Aajaao ,
Haan, Chamakte Chaand Ki Humko Bhi Deed Ho Jaaie’
Tum Aao To Mere Bacchon Mein Eid Ho Jaaie,
Bahut Udas Hai Kunba…..2….. Habib (As) Aajaao,
Yeh Khat Nahi Ishe Behnon Ki Arzu Samjho,
Hamare Lafzon Ko ZAINAB (SAWS) Ki Guftugu Samjho,
BAHEN (SAWS) Yeh Kehti Hai Bhaiya…..2….. Habib (As) Aajaao,
BAHEN (Saws) Ne Usko Takallum Jo Bhai Samjha Tha
Pukari Shaam E Ghariba Mein SANI E ZEHRA (SAWS)
Humara Lut Ta Hai Parda…..2….. Habib (As) Aajaao,
Yeh Khat Mein SHAH (ASWS) Ne Likha Habib (As) Aajaao…..2