Ya Rab Behaq e Zehra S.A

ya rabbul mashraqain ya rabbul maghrabain
ya rab be-haqqe zehra taufeeq ye ata ho
marne se pehle ya rab deedar e karbala ho

jo arze karbala hai har arz se siwa hai
is khaak e karbala may sheh ka lahoo mila hai
har la dawa maraz ki ye khaak hi dawa ho
marne se pehle…
ya rab be-haqqe…

mai bhi to matami hoo zakir hoo sayyeda ka
noha padha hai maine hamshakle mustafa ka
is zaakri ka meri qismat may ye sila ho
marne se pehle…
ya rab be-haqqe…

ya rab namaz e shab may bas ye dua karoo mai
kuch dayr us zameen par majlis bapa karoo mai
har matami ke lab par har dam yehi dua ho
marne se pehle…
ya rab be-haqqe…

mazloomiyat pe jiski rota hai ye zamana
us be-khata ke dar par ek baar to hai jaana
jo karz hai lahoo par wo is tarha ata ho
marne se pehle…
ya rab be-haqqe…

wo sar zameen jahan par goonji azan e akbar
tasbeeh aansuon ki padni hai us zameen par
ek sajdaye aqeedat us khaak par ata ho
marne se pehle…
ya rab be-haqqe…

qurban hogaya jo kulsoom ki dua par
rauza mai uska dekhoo jo margaya wafa par
gar ye sharaf bhi meri taqdeer may likha ho
marne se pehle…
ya rab be-haqqe…

nanhi si jis lehad may sotay hai ab bhi asghar
us par chadaunga mai phoolon ki ek chadar
pursa wahan ho aisa pehle nahi hua ho
marne se pehle…
ya rab be-haqqe…

subhe dahum falak se barsa lahoo jahan par
ibne hassan ka laasha tha char soo jahan par
azaon ki jagah par farshe aza bicha ho
marne se pehle…
ya rab be-haqqe…

hur aun aur mohamed besar jahan huwe thay
ansar o aqroba ke bikhre jahan thay laashe
pursa wahan mai doonga gar roohe fatema ho
marne se pehle…
ya rab be-haqqe…

sajda jahan kiya tha mazloome karbala ne
jhada tha jis zameen ko balon se sayyeda ne
jab mai wahan pe jaun honton pe dam ruka ho
marne se pehle…
ya rab be-haqqe…

jis khaak ki fazeelat kaabe se bhi siwa hai
sajda har ek nabi ne jis khaak par kiya hai
sajda wahan karoo mai zehra ki gar ata ho
marne se pehle…
ya rab be-haqqe…

farhan lafz mere dete hai ye sadayein
har majlise aza may karta hoo ye duayein
bas mazhar abidi par ye aakhri ata ho
marne se pehle…
ya rab be-haqqe…

Shared via Nohay Writeups for iOS

10,287 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot