Ya Imam e Askari
bhejiye bete ko maula muntazir hai matami
ya imame askari
daastane zulm maula ab jahan se khatm ho
jab talak mehdi na aaye rokhdije waqt ko
al-ajal kehke guzarti jaa rahi hai har sadi
ya imame askari….
zaalimo ne zehr maula aapko aisa diya
dast-o-pa ke nakhoono se khoon jari hogaya
aapki ghurbat ko dekha yaade shabbar aagayi
ya imame askari….
dafn sheh ne jis tarha se apne asghar ko kiya
aagaya nazron may haaye manzare karbobala
apni turbat aap ne jo ghar may khud tayyar ki
ya imame askari….
yun to saara saamra tha rone walon may magar
haye bhai kehke roye koi teri laash par
ek behan zainab ke jaisi kaash ke hoti teri
ya imame askari….
ghar may daakhil hogaye thay zulm dhane ke liye
pursa dene ke bajaye qatl karne ke liye
dhoondte thay charo jaanib tere mehdi ko shaqi
ya imame askari….
pardaye ghaibat may mehdi bhi tadap kar rehgaya
gyara sadiyon baad ye phir se sitam dhaya gaya
aapke roze ka girna hai shahadat doosri
ya imame askari….
madare shabbir ka tameer roza dekhle
ghar may khaaliq ke takallum sheh ka matam dekh le
kam kam se itni badhado matami ki zindagi
ya imame askari….
1,957 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot