Veerana Qaid May Baali Sakina Ko Rulata Hai
Hawa Na Roshni Bhi Na x2
Ussay Na Chain Aata Hai
Wo Zalim Kay Tamachon Say
Hay Zakhmi Phool Sa Chehra
Karay Giriya Bhala Kaisay
Laga Ronay Pay Hai Pehra
Sisakti Hai Sakina Jab x2
Wo Zalim Muskurata Hai
Wo Zindan Bain Kartay Hain
Sakina Ki Ghareebi Par
Huwey Hain Zulam Jo Jo Bhi
Masooma Paak Bibi Par
Unhe Zulmon Pay Ab Tak Yeh x2
Falak Ansoo Bahata Hai
Nahi Ab Koi Bhi Sunta
Sakina Ki Duhai Ko
Koi Yeh Ja Kay Batla Day
Meray Sajjad Bhai Ko
Shimr Kyun Baba Ka Chehra x2
Nahi Mujh Ko Dikhata Hai
Nahi Ab Neend Bhi Aati
Sakina Ko Andheron May
Haye Us Ka Dum Nikalta Hai
Wo Zulmon Kay Hai Ghairon Main
Usay To Baap Ka Seenay x2
Bohot Ab Yaad Aata Hai
Jo Guzri Hai Sakina Pay
Bhala Wo Kaisay Batlaoun
Hai Johar Dukh Masooma Kay
Main Lafzon Main Na Likh Paoun
Tasawur Un Jafaon Ka
Safay Matam Bichata Hai