Hai Tere Naam Say Mansoub Yeh Charcha Abbas
Sabro Eesar-E-wafa Josh-E-Allamdar-E-Hussain
Sher-E-jarrar Hama Wakt Hai Ghumkhwar-E-Hussain
Tashnalab Hotay Hue Surat-E-dariya Abbas
Hukme Shabbir Ki Zanjeer Thi Pairoun Mai Pari
Bhai Ko Aakha Kaha Aap Nay Ay Ibn-E-Ali
Bawafa Koi Nahi Aap Kay Jaisa Abbas
Kut Gaye Haath Chidee Mashk-E-Sakina Afsous
Taar Hua Khoon Say Alam, Nehr Pay Aakha Afsous
Kyoun Na Ho Noha Kuna Saaniye Zehra Abbas
Raha Tak Ti Hai Sakina Dar-E-Khaima Pai Khari
Tashnalab Hi Rahi Kaisee Hai Yeh Uftaad Pari
Khud Ko Behlati Hai Day Day Kay Dilasa Abbas
Gir Gayi Sar Say Rida, Zainab-E-Muztar Ki Utho
Lash Uth Thi Nahi Shabbir Say Akbar Ki Utho
Aaow Daydo Zara Sarwar Ko Sahara Abbas
Aag Khaimon Main Lagi Ahlay Haram Khaid Huwe
Bayka Javah Su-E-Zindaan Laeen Lay Kay Chale
Saniye Zehra Nay Hasrat Say Pukara Abbas
Hogaya Tukre Badan Ibn-E-Hassan Ka Dekho
Marhala Aagaya Bazoo Mai Rasan Ka Dekho
Khaid Honay Ko Hai Shabbir Ka Kunba Abbas