Taboot utha saqi-e-kosar ka jo ghar say
Burqay bhi giray hoon gay, rootay howay zainub aur, kulsoom kay sar say
-Zainub nay kaha ro kar baba main kidhar jawoon
Bin baap kay jeenay say acha hai kay mar jawoon
Meray tu kalejay par, chalte hay churee bhai, zarbat ke khabar say
-Kiss jurm main baba ko, ummat nay hai mara
Sadmay say hoee bay kal, zainub nay pukara
Ub kaun humara hay, rootee hoee kehte thi, Shabbir O Shabar say
-Baqiya say chale tanha, Haye koofay main pohnche
Bachon kay dilasay ko maan aye hay roote
Aik Haat bhi zehara kay pehloo pay rakha ho ga, Thake ho ge safar say
-Haider kay janazay ko hasnain uthatay hain
Abbas bhi rotay hain aur sath main aatay hain
Hay akhre rukhsat yeh haider kay yateemon ke ab apnay pedar say
-Yeh Zulm musalmaan nay saadat pay hay dhaya
Haider ka saroon par say haye saya Uthaya
Matam keya nabiyon nay, afsorda malayak hain, pur sooz khabar say
596 Views