Sulagti Rait Pay Sajday Ki Inteha Dekhi

Sulagti Rait Pay Sajday Ki Inteha Dekhi

Rasan May Varis-e-Tatheer Bay Rida Dekhi, Bay Rida Dekhi

Yeh Sajda Woh Hai Kay Jis Nay Bachaya Deen-e-Khuda
Agar Yeh Sajda Na Hota To Kuch Bhi Na Hota
Is Hi Sajday May Buniyad-e-La Ila Dekhi, La Ila Dekhi

Kataya Sajday May Sir Deen Ki Baqa Kay Liye
Na Taaj-o-Tauk Ko Dekha Na Maal-o-Dolat Ko
Fakat Hussain Nay Allaha Ki Raza Dekhi, Haan Raza Dekhi

Ajeeb Waqt Tha Kay Pathron Ki Barish May
Sina Ki Nok Pay Dekha Quran-e-Natik Ko
Labon Pay Surah-e-Tatheer Ki Sada Dekhi, Haan Sada Dekhi

Khuda Ka Shukar Hai Sughara Gayi Na Tu Karbal
Nahi To Aaj Bhi Logon Nay Yeh Samajhna Tha
Bazar-e-Shaam May Qaidi Hai Fatima Dekhi, Fatima Dekhi

Sajjad Khoon Na Rota To Aur Kya Karta
Ghayoor Qaidi Nay In Khoon Alood Ankhon Say
Khari Hazaron May Tafseer-e-Innama Dekhi, Innama Dekhi

Sakina Daur Kay Lipti Thi Apnay Baba Say
Ali Ki Betiyan Behosh Ho Gayin Akhtar
Chidi Jo Teeron Say Shabeer Ki Aba Dekhi, Haan Aba Dekhi

1,554 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot