Sughra Ko Rulata Hai, Ye Chaand Muharram Ka
Jab Samnay Aata Hai, Ye Chaand Muharram Ka
1) Hum Surat e Zahra Se, Bhai Ke Bicharnay Ki.
Khatoon e Qayamat Kay, Ghar Bar Ujar Ne Ki
Rudaad Sunata Hai, Ye Chaand Muharram Ka
2) Kata Hai Gala Logon, Sehroz Ke Pyaase Ka.
Pamaal Hua Laasha, Ahmad Ke Nawasay Ka
Har Ik Ko Batataa Hai. Ye Chaand Muharram Ka
3) Tasweer Dikhata Hai, Ahmad Ki Jawani Ki.
Har Shaks Ko Duniya Mai, Karbal ki kahani Ki
Tafseer Batataa Hai, Ye Chaand Muharram Ka
4) Karbal Ki Ziyaarat Ko, Jo Aankh Tarapti Thi.
Shabbir Teray Ghum Mai, Jo Aankh Barasti Thi
Us Aankh Ko Bhaata Hai, Ye Chaand Muharram Ka
5) Imran Ko Shabbar Ko, Khatoon e Qayamat Ko.
Haidar Ki Kasam Mazhar, Sarkar e Risalat Ko
Turbat Mai Rulata Hai, Ye Chaand Muharram Ka
6,031 Views