Sughra Ko Rulaata Hai

sughra ko rulata hai ye chand muharram ka
jab saamne aata hai ye chand muharram ka
sughra ko rulata hai….

hum surate zehra se bhai ke bichadne ki
khaatun-e-qayamat se ghar baar ujadne ki
rudaad sunata hai ye chand muharram ka
sughra ko rulata hai….

kaata hai gala logo seh roz ke pyaase ka
pamaal huva laasha ahmed ke nawase ka
har ek ko batata hai ye chand muharram ka
sughra ko rulata hai….

tasveer dikhata hai ahmed ki jawani ki
har shaks ko duniya may karbal ki kahani ki
tafsir batata hai ye chand muharram ka
sughra ko rulata hai….

karbal ki ziyarat ko jo aankh tadapti thi
shabbir tere gham me ko aankh baras-ti thi
us ankh ko bhaata hai ye chand muharram ka
sughra ko rulata hai….

imran ko shabbar ko khaatun-e-qayamat ko
hyder ki kasam mazhar sarkare risaalat ko
turbat may rulata hai ye chand muharram ka
sughra ko rulata hai….

991 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot