Sham Haye Sham

shaam haye shaam
teri ummat ke zevar pehan ke dekho nana chali hoo mai shaam
shaam haye shaam….

mai deti kafan tujhko bhaiya gar sar pe rida meri hoti
gar hotay khule haath mere tere zakhmo ko haatho se dhoti
pabande rasan sar barehna dekho bhaiya chali hoo mai shaam
shaam haye shaam….

ay nana mai kaise sunaon darbare shaqi ka wo manzar
sab wali-o-hafiz thay baithay aur sar pe meri na thi chadar
ay nana teri betiyon ko kyun laaye hai sar nange aam
shaam haye shaam….

tere abid pe taari ghashi thi aur kulsoom sehmi khadi thi
kabhi dekhoo mai zakhmi sakina jiske daman may aag lagi thi
kabhi rowun mai apni rida ko kabhi dekhoo mai jalte qayaam
shaam haye shaam….

tere bachon ko lekar gayi mai shab bhar saari roti rahi hoo
kabhi ghazi ka lehja badal ke mai pehre bhi deti rahi hoo
in bewa bahoo betiyon se kyo karte nahi ho kalaam
shaam haye shaam….

jab roti thi bali sakina aur baba ko apne bulaati
mai deti thi usko tasalli aur seene pe apne sulaati
roothi zindan may masoom bachi le le ke wo baba ka naam
shaam haye shaam….

2,506 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot