Shabbir tera sajda, sajdon ki intaha hai, Khoon-e-Hussain say hee, buniyad la-illah hai.
1) Kaye baar teer uskay, hatho say ghirtay dekha
Khata hai khauf dekho, Asghar say Hurmala hai.
2) Ghurbat ki sada ran main, daitay hain Shah baykas
Akbar raha na Asghar, aur na hee bawafa hai.
3) Khud apne laal behjay, agoosh main ajaal ki
Kitna azeem Karbal, maa’oun ka honsla hai.
4) Abbas teray saar nay, dekha hai kaisay manzaar
Ik naizay saar buland hai, ik naizay pay rida hai.
5) Dastar istarhan say, Akbar ko Shah nay bandhi
Sab bibiyon nay khaimay, inna lillah parha hai.
6) Teri laash ko main Qasim, dhondo kaha kaha paar
Tanha Hussain ran main, daitay rahay sada hai.
7) Bhayi ka pyaar dekha, jag say anokha Shahid
Honto pay naam Zainab, khanjar talay gala hai.
1,024 Views