Sajjad Pay Haey Zulm Ki Wo Inteha Huwee
Sajjad Pay Haey Zulm Ki Wo Inteha Huwee

Ankhon Kay Samnay Hee Bint-e-Nabi Ki Ladlee Haey Bay Rida Huwee

Tu Nay Tho Sar Kata Liya Maqtal Mei So Gaey
Kufa O Shaam Ub Meri Qismath Mei Ho Gaey
Saaey Mei Patharon Kay Bhaiyya Lo Mere Qatl Ki Ye Ibthada Huwee

Bazaar-e-Shaam Nathik-e-Quran Aagaey
Tha Shor Khaas-o-Aam Mei Mehmaan Aagaey
Zahra Ki Baiteeion Kai Hathon Mei Rasiyan Kya Insay Khatha Huwee

Zindaan Mei Sehmee Huwee Baithee Hai Sakina
Daikha Hai Isnay Khawab Mei Haey Baap Ka Seena
Soee Nahien Hai Pal Bhi Baba Say Apnay Ujree Aaisee Juda Huwee

Zainab Ka Sar Sajjad Nay Daikha Khula Huwa
Ashkon Ka Rang Josh Mei Aaker Badal Gaya
Baghee Ki Ye Behenain Hain Thashaheer Phupion Ki Jub Ja Baja Huwee

Zanjeer Bhi Wazani Tha Abid Beemar Kay
Zakhmon Say Choor Shaam Mei Sub Pardadaar Thay
Ik Kerbala Hussain Ki Ore Dusri Bazaar Mei Yeh Kerbala Huwee

Sadqa Shabeer Ka Hai Islam Bachgaya
Kalma Quran Ambiya Ka Naam Bachgaya
Khoon-e-Hussain Jub Gira Kerbal Ki Thapthi Raith Pay Khaaq-e-Shifa Huwee

Ya Rab Mere Kalaam Ko Dard-e-Hussain Day
Aal-e-Nabi Ka Waastha Her Dil Ko Chayn Day
Kerta Raha Jo Reh Kay Akhtar Ki Aaj Momino Puri Dua Huwee

1,178 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot