Ronay Walon Sher Madinay Main Ik Asa
Ronay walon sher madinay main aik aisa bhi waqt aaya hai
Kalma goyon nay kalma wallon ko/ bharay darbar main rulaya hai
Hai muqadma rasool zadi ka/ bharay darbaar main wo ayee hai
Jin pay Allah’ bhi durood parhay/ aisay farzand sath layi hai
Ghasibanay fidak nay phir kesay/ Un gawahon ka dil dukhaya hai
Masnid-e-Mustafa pay ghasib hai/ samnay Mustafa ki beti hai
Mera haq daydo aye musalmano/ ro kay khairul nisa yeh kehti hai
Meray baba kay baad kyun tum nay/ Fatima pay yeh zulm dhaya hai
Woo labay zarf aye nabi zadi/ teray haq ko main janta hi nahi
Jo likhi thi tumharay baba nay/ main wo tehreer manta hi nahi
Chaak kerdi sanad Muhammad ki/ kheh khaha zor say lagaya hai
Qabray Ahmed’ pay jakay kehnay lagi/ Fatima ko naheef ker dala
Dekho nana tumhari umat nay/ kitna mujh ko zaheef ker dala
Mera mohsin shaheed ker dala/ meray pehloo pay dar giraya hai
Fatima sayeeda ko baba ki/ gar wirasat’ pay ikhtiyaar nahi
Phir who aurat’ nabi kay hujray ki/ aye musalmano vhir sadaar nahi
Jis nay mola Hasan ki mayyat pay/ teer hathon say khud challaya hai
Gham-e-Aalay aba main rehta hai/ zikray shabbir aam kerta hai
Matmi ko tauqeer nohon main/ is liye phir salam kerta hai
Is nay bibi batool kay gham main/ dil ko baytul huzun banaya hai
447 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot