Reh Ga Ey Dasht-e-Musibat Main Sakina
Reh ga ey dasht-e-Musibat main sakina tanha
Lub pay rehta tha hazina kay musalsal noha
Dil phata jata hay jab say hay alam run main gira
Pani mangoon gi nahi aap say wada hay mera
Dil tarap jatay thay sun kay yeh sakina ki sada
Meray rukhsaroon pay ma ray hain tamanchay ammon
Iss tarha shimar nay bunday hain utaray ammon
Aab talak jari hay khoon kanoon say meray ba khuda
Har tamanchay pay hay ammon ko nida dey main nay
Kabhi qasim kabhi akber ko sada di main nay
Ab mujhay kaun bachay koi baqi na raha
Kab say rooti hoon main baba kay liyay milwa doo
Sir meray baba ka aik baar mujhay dilwa doo
Phir na roota mujhay pawoo gay Yay wada hay mera
Jis ghari aa ya tha zindan main shabbir ka sir
Moo pay moo rakh kay yay boli thi sakina ro kar
Neelgoo ho gayay rukhsar chini sir say rida
Tum nishan tak meray marqad ka mitana bhayya
Shimar poochay bhi tu uss ko na batana bhayya
Khuld ko jati hoon main hoti hoon tum sab say juda
Woo tu mar kay bhi reha ho na saki zindan say
Baap ki yaad main guzri hai sakina jaa say
Yeh hi noha tha sakina ka Ashhar waqt-e-qaza
436 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot