Qateel-e-taygh-o-sina La ilaha illal la

Qateel-e-taygh-o-sina La ilaha illal la
tere baghair kahan la ilaha illal la

hussain dayr may islam ki alamat hai
hussain waqt ki sab se badi zaroorat hai
hussain ism tera wird hai ibadat hai
tera lahoo may nihan la ilaha illal la
qateel-e-taygh….

hussain tujhse baqa deen ki nabuwat ki
hussain tune rakhi aabroo shariyat ki
hussain tune kamar tod-di shakawat ki
tere sabab hai ayan la ilaha illal la
qateel-e-taygh….

kisi zaeef ki nazron may yun nahi dekha
ke aediyon ko ragadtta hai nowjawan beta
ulat ke aasteen kehke ya ali maula
tu kheenchta hai sina la ilaha illal la
qateel-e-taygh….

niraali shan se marne ko har jawan gaya
khuda ke deen pe mitne ko har jawan gaya
mila jo izn to ladne ko har jawan gaya
magar wo shere jawan la ilaha illal la
qateel-e-taygh….

bapa hai shore fughan saare aasmano par
ajeeb yaas hai ahle haram ke chehro par
pidar ke hukm pe masoom khushk honton par
jo phairta hai zuban la ilaha illal la
qateel-e-taygh….

damishq ki wo sajawat ke jaise har ghar eid
ali ki betiyan darbare sham aur wo yazeed
wo chaubey khusk wo sarwar ka sar wo zulm shadeed
laraz raha hai jahan la ilaha illal la
qateel-e-taygh….

jahan bhi majlise sarwar ho shore matam ho
maray to qabr may shahid bas ek ye gham ho
ye saans aaye ke ruk jaye aankh purnam ho
fida ho tujpe jahan la ilaha illal la
qateel-e-taygh….

468 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot