Aakay Seenay Say Lagao Baba.
Main Andheray May Akeli, Nah Maar Jaaoon Kahin
Mujhko Maarnay Say Bachao Baba.
Main Teri Yaad May Din Raat Yun Tarapti Hoon
Jaisay Pinjray May Koyi Ghayal Parha Ho Panchee
Maut Ka Khauf Hai Sannata Hai Veerani Ha
Meri Imdaad Ko Aawo Baba.
Mujhko Aahdat Hai Teray Seenay Pay Saar Rakhnay Ki
Chayn Ki Neend Bhala Kaisay Zameen Paar Aaye
Qaid Khanay May Toh Parhti Hai Bala Ki Gaarmi
Apni Godee May Sulwao Baba.
Meray Dadaa Nay Reha Kitnay Kiye Thay Qaidi
Uski Pouti Hoon Magaar Qaid May Majboor Hoon Mai
Naam Laykay Tera Ronay Nahin Dayta Zalim
Abh Meri Qaid Churao Baba.
Phuphiyon Kay Bhi Bandhay Haath Passay Gardan Hain
Woh Bhala Kaisay Meri Ankhon Say Ansoo Ponchain
Bay Sahara Hoon Yateemi Ka Karha Mausam Hai
Apni Soorat Toh Dikhao Baba.
Yaad Baysheer Ki Aati Hai Mujhay Shaam-o-sehar
Uska Jalta Howa Jhula Bhi Nazar Aata Hai
Mujhay Miljawo Meray Maarnay Say Pehlay Aakar
Saath Akbar Ko Bhi Laawo Baba.
Nokay Nayza Pay Jo Kartay Thay Tilawat Mola
Janay Kya Soch Kay Akhtar Ye Sakina Nay Kaha
Shaam Kay Loug Hain Behray Ye Samajh Saktay Nahin
Inko Quran Nah Sunawo Baba.