Qabr Asghar Ki Banane Mein Bohat Dair Lagi
Sheh Ko Ik Chand Chupaney Mein Bohat Dair Lagi
Kuch Qadam Door Hai Bazar Se Darbar Magar
Phir Bhi Shehzadi Ko Aane Mein Bohat Dair Lagi
Sheh Ne Har Lash Ko Jaldi Se Uthaya Lekin
Lash Akbar Ki Uthane Mein Bohat Dair Lagi
Tukray Chuntay Hoye Qasim Ke Kaha Maula Ne
Haye Afsoos Ke Aane Mein Bohat Dair Lagi
Iss Qadar Pyas Se Sokha Tha Guluye Sarwar
Shimar Ko Taig Chalaney Mein Bohat Dair Lagi
Baap Ki Lash Se Durron Ki Aziyat De Kar
Aik Bachi Ko Hatanay Mein Bohat Dair Lagi
Chand Satrein Thin Magar Lash-e-Ali Akbar Par
Sheh Ko Khat Parh Ke Sunanay Mein Bohat Dair Lagi
Karbala Pohancha TAKALLUM: Tu Yehi Ro Ke Kaha
Mujh Ko Sarkar Bulanay Mein Bohat Dair Lagi
1,348 Views