Pehlu Bhi Shikasta Hay Turbat Bhi Shikasta Hay

Pehlu Bhi Shikasta Hay Turbat Bhi Shikasta Hay

Kya Haal Yeh Ummat Nay, Zahra Ka Banaaya Hay.

Khatoon Koyi Ghum Say, Yun Churr Nayhi Dekhi
Aisi Koyi Duniya May, Mastoor Nayhi Dekhi
Athaara Baras May Hi, Lagti Jo Zaeefa Hay.

Darbaar May Zaalim Nay, Ki Aisi Pazeerayi
Kis Tarha Say Tu Bibi, Phir Laut Kay Ghaar Aayi
Baalon Ki Safaydi Nay, Saab Haal Sunaaya Hay.

Tu Roti Rayhi Ghaar May, Haider Say Bhi Chup Chup Kay
Ismat Ki Tarha Dukh Bhi, Parday May Rahay Teray
Kuch Dard Teray Bibi, Bus Jaanti Fizza Hay.

Do Aisay Janaazay Hay, Taarikh May Jo Ut Thay
Bus Ghaar Kay Hi Logo Nay, Dono Ko Diye Kaanday
Ek Fatima Zahra Hay, Ek Baali Sakina Hay.

Marham Teray Zakhmon Ka, Bibi Na Mila Ab Tak
Aulaad-e-umayya Ki, Baaqi Hay Jafaa Ab Tak
Ronay Peh Bhi Pehra Tah, Turbat Peh Bhi Pehra Hay.

Mismaar Tera Roza, Ummat Nay Kiya Jab Say
Baba Tera Rehta Hay, Turbat Peh Teri Tab Say
Kaab Ghumbad-e-Khizra May, Baba Tera Rehta Hay.

Mehdi Say Koyi Puchay, Kya Ous Peh Guzarti Hay
Awaaz Baqiayya Say, Jab Ronay Ki Aati Hay
Aankhon Say Lahu Rokar, Woh Bhi Yehi Kehta Hay.

Tasveer Haqikat Ki, Khwaabon Ko Banadijiye
Ai Bibi Taqallum Ko, Taahbir Dikhadijiye
Matam Teri Turbat Peh, Hotay Howay Dekha Hay.

2,000 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot