Paani Na Mila Aaj Bhi Pyasi Hai Sakina
Ay Momino Jab Majlise Shabbir May Aana
Bachon Ka Tumhe Waasta Ye Bhoolna Jaana
Ye Soch Ke Jee Khol Ke Tum Ashq Bahana
Majlis Jahan Hogi Wahan Aati Hai Sakina
Paani Na Mila Aaj Bhi Pyasi Hai Sakina
Pyasi Hai Sakina Haaye Pyasi Hai Sakina
Allah Kare Aaye Kabhi Aisa Zamana
Ho Shaam Ke Zindaan Ki Taraf Aap Ka Jaana
Phat Jaayega Dil Dekh Ke Wo Gham Ka Thikana
Behaal Hui Qabr May Soti Hai Sakina
Paani Na Mila Aaj Bhi Pyasi Hai Sakina
Yun Jaanibe Darya Gaye Abbase Dilawar
Aur Darya Se Mashqiza Bhara Ba-Dile Muztar
Darya Ki Har Ek Mauj Ye Kehti Thi Tadapkar
Hai Teesra Din Haaye Tadapti Hai Sakina
Paani Na Mila Aaj Bhi Pyasi Hai Sakina
Shaam Aagayi Jab Chaane Laga Ban May Andhera
Zainab Ne Kiya Bhai Ke Laashe Pe Ye Nouha
Kya Tum Ne Sakina Ko Kaheen Dekha Hai Bhaiya
Ek Kooza Liye Dasht May Aayi Hai Sakina
Paani Na Mila Aaj Bhi Pyasi Hai Sakina
Jab Gyara Moharam Ko Suye Shaam Sidhari
Darya Ki Taraf Dekh Ke Zainab Ye Pukari
Abbas Na Marjaye Bhatiji Ye Tumhari
Behaal Meri Godh May Baithi Hai Sakina
Paani Na Mila Aaj Bhi Pyasi Hai Sakina
Is Tarha Sitam Dhaate Hai Ab Zulm Ke Baani
Laakar Ye Bhare Kooze Baha Dete Hai Paani
Kuch Aur Bhi Bad Jaati Hai Yun Tashnadahani
Bhaai Ki Taraf Dekh Ke Roti Hai Sakina
Paani Na Mila Aaj Bhi Pyasi Hai Sakina
Aansu Abhi Bachi Ke Nahi Paar Thay Thamne
Phir Maar Diya Durra Kisi Ehle Sitam Ne
Sajjad Ko Har Gaam Rulaaya Isi Gham Ne
Is Umr May Ye Sakhtiyaan Sehti Hai Sakina
Paani Na Mila Aaj Bhi Pyasi Hai Sakina
Durro Ki Azziyat Se Tadapti Hai Hazeena
Dukhta Hai Badan Siskiyan Leti Hai Sakina
Sone Ke Liye Paas Nahi Baba Ka Seena
Ek Kone May Sehmi Hui Baithi Hai Sakina
Paani Na Mila Aaj Bhi Pyasi Hai Sakina
Ye Zulm Bhi Kamsin Pe Sitamgaaro Ne Dhaaya
Rakha Hai Isay Qaid Wahan Par Yako Tanha
Rehta Hai Jahan Din May Qayamat Ka Andhera
Darr Darr Ke Na Mar Jaaye Akeli Hai Sakina
Paani Na Mila Aaj Bhi Pyasi Hai Sakina
Kehta Hai Suno Haaton Ko Jode Huwe Gowhar
Aaj Aise Bahe Aankhon Se Ashkon Ka Samandar
Ye Kehti Huwi Jaaye Na Shabbir Ki Dukhtar
Lab Khushk Zaban Sookhi Hai Roti Hai Sakina
Paani Na Mila Aaj Bhi Pyasi Hai Sakina
17,705 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot