Ooncha Rahe Apna Alam

Ooncha Rahe Apna Alam

 

Jab Tak Hai Dohre Aasamaan
Sun Le Yeh Har Peeroon Jawaan


Awaaz Per Shabbir Ki 
Barhta Rahe Yeh Karwaan
Rukne Na Paye Yeh Qadam.

 

Har Qalb Per Chahte Chaloo
Duniyaa Ko Batlate Chaloo
Ek Ek Mahaz-e-Zulm Ki
Tasweer Dikhlate Chaloo
Har Dil Main Bhar Doo She Ka Ghaam.

 

Kab Tak Na Mane Ga Koi
Wo Waqt Aaye Ga Kabhi
Har Qalb Per Chah Jayee Ga 
Apna Hussain Ibne Ali
Duniya Rahe Zere Qadam.

 

Jab Bhi Koi Mushkil Pari
Duniya Issi Dar Per Jhukki
Seenoo Pe Bal Kha Ker Odhar
Utthi Sadayen Ya Ali
Nikal Idhar Batil Ka Dam.

 

Yeh Parcham-e-abbas Hai
Toote Diloon Ki Aas Hai
Ab Tak Issi Parcham Tale
Zindaan Kisi Ki Pyaas Hai
Jis Ne Sahi Lakhoon Sitam.

 

Abbas Hai Naam-e-wafa
Aghaazoo Anjaame Wafa
Moo Maur Ker Darya Se Joo
Peta Raha Jaame Wafa
Hote Rahe Bazoo Qalam.

 

Zindaa Hai Hal Min Ki Sada
Mitta Nahi Khoon Ka Likha
Shabbir Ke Haq Ki Kasam
Ek Mojeza Hai Karbala
Yeh Silsila Na Hoga Kam.

 

Jab Karbala Yaad Aaye Gi
Insaniat Sharmaye Gi
Mazloom Ki Awaaz Hai
Dil Main Oter Ti Jaye Gi
Paltain Ge Phir Bahke Qadam.

 

Aye Naujawana Ne Aza
Tum Ho Kisi Dil Ki Dua
Ta Hashr Othti Hi Rahe
Seno Se Matam Ki Sada
Qayam Rahe Akbar Ka Ghaam.

 

15,197 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot