Nikla Wo Sher Khaime Ke Baahar Alam Liye

Nikla wo sher khaime ke baahar alam liye
Mujre ko aayi fathe sipaah-e-hasham liye
Jurrat ne badhke bosa-e-taigh-e-do dum liye
Nusrat ne choome paav, zafar ne qadam liye
Khursheed ka jalaal nigaahon se gir gayaa
Iqbaal sar ke gird humaa ban ke phir gaya
Aaya sajaa hua wo samand-e-Buraaq Sair
Tha jo falak pe udne ko taiyaar misl-e-tair
Hota tha uske dar se ghazaalon ka haal ghair
In mein sipaah-e-shar use rokein, to ye bakhair
Sar sar qadam ki gard ko paati nahi kabhi
Dhoonde basher, pari nazar aati nahi kabhi
Wo zaib o zain zeen ki wo saaz wo phaban
Zevar mein jaise hoti hai aaraasta dulhan
Chashm-e-siyaah deeda-e-aahu pe taanazan
Sar’at ye thi ke bhoolte the chaukdi hiran
Jaadu tha maujiza tha pari thi tilism tha
Paakhur na thi zirah mein tehemtan ka jism tha
Rakkha qadam rakaab mein Haider ke laal ne
Nalain-e-paa ko fakhr se chooma hilaal ne
Bakhshi jo sadr-e-zee’n ko zia, Khush Khisaal ne
Dum ko chawar kiya faras-e-bemisaal ne
Kis naaz se wo rashk-e-ghazaal-e-khutan chala
Taoos tha ke sair ko soo-e-chaman chala
Khushboo se arz-e-paak riyaaz-e-jinaa’n bani
Gard ud ke ghaaza-e-rukh-e-laila wishaa’n bani
Jalwe se raah-e-dasht-e-bala kehkashaa’n bani
Zarre bane nujoom, zamee aasmaa’n bani
Sum burd thay to naal bhi chaaro hilaal thay
Naqsh-e-sum-e-faras se hazaaro hilaal tahy
Wo dabdaba wo satwat-e-shahana wo shabaab
Tharraa raha tha jiski jalalat se aaftaaf
Wo raub-e-Haq ke sher ka zohra ho aab aab
Saulat mein fard, Daftar-e-Jurrat mein intekhaab
Tevar mein saare taur Khuda ke Vali ke hain
Shaukat pukaarti hai ke bete Ali ke hain
Pohche jo dasht-e-kee’n mein udate hue faras
Ghode ko haath uttha ke ye aawaaz di ke bas
Dekhein safein jami jo chap o raas o pesh o pas
Naara kiya ke neher pe jaane ki hai hawas
Rokega jo wo maut ke panje mei aayega
Hat jaao sab ke sher taraai mein jaayega
Roke humein nikal ke jo taaqat kisi mein ho
Le taigh miyaan se jo shajaa’at kisi mein ho
Garmaaye rakhsh ko jo haraarat kisi mein ho
Aaye jo harb o zarb ki qudrat kisi mein ho
Do haath mein Ali ke pisar waar paar hain
Darya nahi jo ruk gaya, hum Zulfiqaar hain
Tum kya pahaad beech mein gar ho to taal dein
Shero’n ko hum taraai se baahar nikaal dein
Mohlat na aik ko dam-e-jung o jadaal dein
Paani to kya hai, Aag mein ghode ko daal dein
Moo dekhte hain jo hain negehbaan ghaat ke
Le jaayein ghar pe taigh se darya ko kaat ke
Sarkash hain sab hamaari zabardastiyon se zer
Dada shuja hai, baap Ululazm, hum deler
Jab ran pada hai kar diye hain zakhmiyon ke dher
Laaye thay jaake aag se paani Khuda ke sher
Afreet bhaagte hain wo chotein hamaari hain
Beerul Alam mein kood ke talwaarein maari hain
Jurrat jilo mein rehti hai nusrat rakaab mein
Lete hain ghaat pair ke taighon ki aab mein
Likkhay hue hain shero ke hamle kitaab mein
Faslein hain apne zor ki khaiber ke baab mein
Naasir hain Baadshah-e-Falak-Baargaah ke
Daftar ulat diye hain Arab ki sipaah ke
Be mashq ke bhare humein aata hai chain kab
Garmi mein pyaas se kai bachche hain jaa’nbalab
Asghar ki godiyon mein tadapte kati hai shab
Kya waqt hai Hussain ke bachchon pe hai ghazab
Laale pade hue hain Sakeena ki jaan ke
Kaante mujhay dikhaaye thay sookhi zabaan ke
Ibrat ki ye jagaa hai ke hum aur sawaal-e-aab
Saqqaa bane hain dekh ke bachcho ka iztaraab
Is mashq ne kiya humein uqba mein kaamyaab
Allah ri aabroo ke behishti mila khitaab
Sheh se nishaan-e-fauj-e-payambar bhi mil gaya
Toobaa ke saath chashma-e-Kausar bhi mil gaya
Ye zikr tha ke fauj ki jaanib se teer aaye
Naize uttha ke sher ke moo par shareer aaye
Ye bhi jhapat ke misl-e-Shah-e-Qillageer aaye
Geti hili ghazab mein Janaab-e-Ameer aaye
Ghoda uda paron ko sawaaron ke tod ke
Lapti safon pe saif bhi kathi ko chhor ke
Toda ye morcha, ye saf ulti, udhar phire
Talwaar khoo’n mein, aap paseene mein tar phire
Youn khaak pe gira ke laeeno ke sar phire
Jaise shikaar khele hue sher-e-nar phire
Thi qeher ki nigaah, ghazab ka Jamaal tha
Aankhen bhi surkh surkh thein, chehra bhi laal tha
Beshak tha inka haath Ameer-e-Arab ka haath
Pohcha wighaah mein sau taraf aik tashnalab ka haath
Aayi ajal uttha jo kisi beadab ka haath
Sher-e-Khuda ke sher ne maara ghazab ka haath
Aise jari se kisko majaal-e-masaaf thi
Youn phir ke saf ki saf ko jo dekha to saaf thi
Chalta tha misl-e-barq yameen o yasaar haath
Dar dar ke jodte thay zalaalat shiyaar haath
Inki na aik zarb na unke hazaar haath
Kaafi thay sab ko taigh-e-do dasti ke chaar haath
Aawaaz shashjahat mein bageedo bazan ki thi
Allah ka karam tha madad Panjetan ki thi
Badh badh ke kaat ti thi wo talwaar haath paav
Dar se badha na sakte thay khoo’nkhaar haath paav
Sar bach gaya to ho gaye bekaar haath paav
Chamki wo youn ke aanth hue chaar haath paav
Roohein pukaarein sher phir aaya nikal chalo
Boli ajal, ab uth ke to panjo’n ke bal chalo
Pehne hue thay jism pe zirhein jo chust chust
Chotein kadi padein to hue sab wo sakht sust
Khauf-e-ajal se bhool gaye waada-e-nakhust
Tooti safon mein haath kisi ken a thay durust
Ik short ha ke jaan gayi is ladaai mein
Ghode bhagaao, aag lagi hai taraai mein
Maghfar na sar ke paas na khanjar kamar ke paas
Bete ke paas baap na beta pidar ke paas
Qabze ke paas taigh na dasta tabar ke paas
Kadiyaa’n zirha ke paas na daaman sipar ke paas
Abvi sinaan par thi na parcham nishaan par
Paikaa’n na teer par thay na chille kamaan par
Allah re jung-e-sher-e-nayastaan-e-Karbala
Chooti bhi morcho mein na thi aadmi to kya
Pohchay taraai mein to ye aada ko di sada
Kyon? Ab ye neher kiski hai, ai qaum-e-ashqaya?
Aik aan mein shikast hazaaron ko dete hain
Dekho asad taraai ko youn chheen lete hain
Raste khule hue hain kahaan hai wo bandobast?
Kisne ye room o shaam ki faujon ko di shikast?
Kya ho gaye taraai se wo sab hawa parast?
Kyon sar baland kaun hai is waqt, kaun past?
Faujon mein youn kisi ne bhi ghode udaayein hain?
Dekho to hum kahaa se kahaa ladte aaye hain
Dunya bhi ik taraf ho to hum pe zafar na paaye
Faaqon mein sher bhi ho muqabil to moo ki khaaye
Kis dabdabe se jauhar-e-jung-e-Ali dikhaaye
Ab kuch alam nahi, ajal aaye ke jaan jaaye
Bas hum ne ghaat chheen liya, mashk bhar chuke
Shero ne jo zabaa se kaha tha wo kar chuke
Lab tashna teen din se hain aur hai furaat paas
Chaahein abhi to haath badha kar bhjhaayein pyaas
Par zeher hai baghair Shah-e-Aasmaa’s Asaas
Marte hain aabru pe Gulamaan-e-Haq Shanaas
Aaqa ki tashnagi pe jigar chaak chaak hai
Be inke aab-e-Khizr bhi howe to khaak hai
Farma ke ye samand ko daala furaat mein
Goya-e-Khizr utar gaye aab-e-hayaat mein
Daryadil aisa kaun hua Kaynaat mein
Tasma pakad ke mashk bhari aik baat mein
Seraab jab talak ke Shah-e-Behr o Bar na ho’n
Manzoor hai ke haath bhi paani se tar na ho
Darya se mashk bhar ke jo nikla wo naik naam
Umdi siyaah ghata ki tarha sab sipaah-e-Shaam
Youn doob ke nikalta tha wo Aasmaa’n Maqaam
Zaahir ho jaise abr mein chhup kar Mah-e-Tamaam
Maujein thi rood-e-Neel ki, faujo’n ka dal na tha
Par waah ri hawaas ke abru pe bal na tha
Ghere the aik jaan ko do laakh ahl-e-shar
Thehere kahaa’n, qaraar kahaa’n le, thame kidhar
Chhati ke paas barchhiyaa’n, taighein qareeb-e-sar
Pehlu mein is taraf to sinaanein, udhar tabar
Milti na thi amaa sipah-e-teer’a bakht se
Gosho’n se teer chalte the patthar darakht se
Jab mashk ki taraf koi aata tha san se teer
Kehte the Ya Hafeez kabhi gaah Ya Qadeer
Chilla raha tha Shimr-e-jafa pesha o sharer
Jaane na paaye Lakhte Dil-e-Shaah-e-Qillageers
Rukh is jari ka khaime ki jaanib se mod do
Haa’n barchhiyo’n se sher ke seene ko tod do
Sun kar zabaa’n daraazi-e-Shimr-e-sitam shiaar
Abbas misl-e-sher jhapat’te the baar baar
Talwaarein saikado’s thein, hazaaro’n the naizadaar
Todi agar ye saf to jami doosri qataar
Tanha sambhaale mashk o alam ya wigha kare
Balwa ho puri fauj ka jis par wo kya kare
Mash’hur hai ke aik pe bhaari hain do basher
Dar pe the ik jawaa’n ke liye laakh ahl-e-shar
Khaaye idher se zakhm jo ki us taraf nazar
Kis kis ka waar rad karein dekhein kidhar kidhar
Jab dum liya to seene pe sau teer chal gaye
Pehlu ko tod tod ke naize nikal gaye
Seena sipar the mashk pe roke hue the dhal
Ladne mein bhi Hussain ke bachcho’n ka tha khayaal
Kehta tha dagmaga ke faras par wok Khush Khisaal
Farzand ko sambhaaliye, Ya Sher-e-Zuljalaal
Jaa pohchu’n mashk le ke jo thodi si raah ho
Aisa na ho ke pyaaso’n ki basti tabaah ho
Ye kehte the ke toot pada lashkar-e-shareer
Bas chur ho gaya pisar-e-Shaah-e-Qillageer
Aakar laga miyaan-e-do abroo pe aik teer
Teora gaya Ali-e-Wali ka Mah-e-Muneer
Chhori jo bag paav faras ke bhi ruk gaye
Phaila ke haath mashk-e-Sakina pe jhuk gaye
Sheh daud kar pukaare ke aata hu Bhai Jaan
Ghar lut gaya hai khaak udata hu Bhai Jaan
Taaqat badan mein ab nahi paata hu Bhai Jaan
Ik ik qadam pe thokarein khata hu Bhai Jaan
Dast-e-shikasta bete ki gardan mein dale hain
Bhaiyya humein to Akbar-e-Mehru sambhaale hain
Akbar ne Sheh ke haath pakad kar basad buka
Rakkhe chacha ke seene pe aur ro ke ye kaha
Leeje yahi hai laash-e-Alamdaar-e-Bawafa
Chillaye jhuk ke laash pe Sultan-e-Karbala
Tooti hui kamar hai sambhaalo Hussain ko
Bhaiyya zara gale se laga lo Hussain ko
Abbas haath kat gaye shaano’n se hai ghazab
Reti pe do taraf hai tumhara lahu ye sab
Loota humein Rasool ki ummat ne besabab
Bhaiyya humari jaan nikalti hai tan se ab
Mar jaayenge, jila do humein mu se bol ke
Do baatein kar lo bhai se aankhon ko khol ke
Ghash mein suni jo girya-e-Shabbir ki sada
Chauke tadap ke Hazrat-e-Abbas-e- Bawafa
Aahista ki ye arz ke ai Sibte Mustafa
Is pyaar ke nisaar, is ulfaat ke fida
Zeba hai nikle jaan agar peshwaai ko
Goya Rasool aaye hain Mushkil Kushaai ko
Ye keh ke roye, Sheh ki taraf ki nazar baghaur
Jhuk kar pukaare Shaah ke “Bhaiyya kaho kuch aur”
Tadpa qadam pe Sheh ke wo maqtool-e-zulm o jaur
Lein hichkiyaa’n, bigadne lage tewaro’n ke taur
Pathra ke chashm-e-ask fishaa’n band ho gayi
Tharraaye dono ho’nt, zabaa’n band ho gayi
Akbar ne arz ki ke chacha jaan mar gaye
Jhuk kar pukaare Shaah ke “bhaiyya kidhar gaye”
Mu to uthaao khaak se rukhsaar bhar gaye
Wa hasrataa, Hussain ko beaas kar gaye
Ab kaun dega dukh mein Nabi ke pisar ka saath
Dum bhar mein tum ne chhor diya umr bhar ka saath
Haa’n ro lo momino ke buka ka maqaam hai
Tum mein shareek Rooh-e-Rasool-e-Anaam hai
Ab rukhsat-e-Hussain Alaihis Salaam hai
Tareekh athwi hai, Moharram tamaam hai
Maut aayi to shareek-e-aza kaun howega
Jo saal bhar jeeyega wo phir Sheh ko rowega
Aage tumhaare marte jo Abbas-e-Bawafa
Pursa na dete Sibte Rasool-e-Khuda ko kya
Tum sab ko dekhte hain Shehenshaah-e-Karbala
Zehra bhi nange sar hain, qayamat karo bapa
Samjho shareek-e-bazm Shah-e-Mashraqain ko
De lo jawaan bhai ka pursa Hussain ko
Peeto saro’n ko hota hai ab marsiya tamaam
Lipto Zari-e-paak se keh keh ke “Ya Imaam”
Rukhsat talab hai baap se Akbar sa Laalafaam
Khamosh hain Hussain, nahi karte kuch kalaam
Maqtool zulm o jaur hai ab ran mein Fatima
Hota ha Panjetan ka koi dum mein khatima
Bas ai Anees rok le ab khaama ki inaa’n
Ye ghum hai jaa’n guzaa, na kabhi hoega bayaa’n
Aankhon se saamaeen ke bhi askh hain rawaa’n
Khaliq se arz kar ke ai Khallaq-e-Ins o Jaa’n
Aankhon se mas karu mai Mazaar-e-Batool ko
Dikhla de jald Marqad-e-Sibte Rasool ko

1,801 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot