Nanhi Zahra Hun Zara Samjho Lyrics

Ay ahle jafa, ay ahle jafa
Sookha hai gala, mera jurm hai kya
Hayee Sakina,
Hayee hayee Sakina

Nanhi Zahra hun zara samjho aise na maaro, aise na maaro
Khud main deti hun tumhe nocho na yun meray gohar

Mujhko itna to bata do kay bigara kya hai
Aik beemar siwa mera sahara kya hai
Mere sadmon nay jhuka di hai jawani mein qamar

Main to kehti hun zibah kar ke sina le aao
Mujhko manzoor hai Baba say aisay milwao
Sath Baba kay karun gi main khushi se ye safar

Kya Khuda nay nahi di tumko koi aulaadein
Apne bachon ki suni tu nay nahi hain aahein
Isliye hota nahi meray ye ronay ka asar

Kahan sina ki ye nokein kahan masoom si jaa
Main kahan tak bhala dorun gi in kay sath yahan
Beth bhi sakti nahi teray tamachon ka jo dar

Harf saray hi salamat ke yun dam tor gaye
Teray zakir ki tarah jo bhi jahan chor gaye
Dena mehshar mein inhe apni azaa ka tu samar

569 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot