nanhe mujahid ran may jaakar tum nahi aaye
shaah to aaye jaane maadar tum nahi aaye
nanhe mujahid….
kab se khadi hoo qaime ke dar par
aakhon may lekar ashko ke saagar
pesh karoo aajao asghar, tum nahi aaye
nanhe mujahid….
khaali jo pehlu paaungi beta
gham se phatega mera kaleja
raat bhi guzregi ro ro kar, tum nahi aaye
nanhe mujahid….
raat andheri dasht biyaabaa
dar nahi jaana ran may meri jaan
kaise rahoge maa se bichad kar, tum nahi aaye
nanhe mujahid….
tum ne ishaaro may ye kahaa tha
de de raza maqtal ki khudaara
kar ke fatah mai aaunga lashkar, tum nahi aaye
nanhe mujahid….
kab se huwe qaimo se sidhaare
peshe nazar hai saare nazaare
khogaye kya maidan may jaakar, tum nahi aaye
nanhe mujahid….
teer laga hai kya gardan par
jo nahi dekha maa ko palat kar
kaun si majburi thi asghar, tum nahi aaye
nanhe mujahid….
qatl huwe jo joro jafa se
shaah utha kar laaye wo laashe
aate hai tanha ran se sarwar, tum nahi aaye
nanhe mujahid….
kisko suna-ungi mai kahaani
ye bhi na solha yusufe saani
maa se kategi raat ye kyon kar, tum nahi aaye
nanhe mujahid….
kisne anise gham ko pukaara
sunwaao aawaz dubaara
nowha yehi tha baano ke lab par, tum nahi aaye
nanhe mujahid….