Mola Tere Huzoor Mein Hazir Hai Ye Ghulam
Ankhein Taras Rahi Thi Ziyarat Ke Waastay
Tarpa Hoon Aik Umr Mein Iss Din Ke Waastay
Karli Jiye Qubool Mola Mera Salam
Taaqat Zaban Mein Hai Kahan Jo Karoon Kalam
Ashkon Se Kar Raha Hoon Raqam Haal E Dil Tamam
Ya Shah E Mashreqain, Ya Shah E Tashnakaam
Qasim Ka, Aun Ka, Ali Asghar Ka Waasta
Abbas E Naamdaar Ka, Akbar Ka Waasta
Likh Lee Jiye Huzoor Ghulamon Mein Mera Naam
Ahsaan Mand Hai Shah E Aali Maqam Ke
Rutbay Buland Kardiye Mola Ghulam Ke
Ab Zairon Mein Aapkay Aata Hai Mera Naam
Aalam Mein Sar Buland Na Ho Kyun Ye Sar Zameen
Rakhi Yahan Hai Kaaba E Imaan Ne Jabeen
Sota Yahan Hai Fatima Zehra Ka Laala Khaam
Qausayn Kis Ko Kehtay Hai Ye Woh Kamaan Hai
Zer E Zameen Sota Yahan Asmaan Hai
Roshan Yahan Hain Khaak Pe Khursheed Gaam Gaam
Ugla Lahoo Sagheer Ne Iss Khaak E Paak Par
Shabbir Dekhte Rahay Aur Iss Ki Khaak Par
Akbar Ki Na Tamam Jawani Huwi Tamam