Mola raza pay hai kyon zulm o sitam howay hain
Ghurbat ki zindagi main aaqa sada jiyay hain
Mamoon nay diya hai zehar-e-daga raza ko
Qatal-e-imam kay sab saaman kar diyay hain
Aangoor-e-zahar kha kar haalat main tagyi yur hai
Lagta hai jaisay inn kay qalb o jigar katay hain
Uthi hai siyah aandhi mashad main madinay main
Gham kay pahar hain jo saadaat par giray hain
Larzaaan’ hai aasmaan’ bhi hai zalzala zameen’ ko
Jin o malak main matam kay shoor woo uthay hain
Bhai say milnay pohanchin masooma-e-qum jis dam
Thama jigar yeh sun kay bhayya nahi rahay hain
Jin ki zamanatoon main hain moomeneen-e-aalam
Hain yeh wahi raza jo dunya say ja rahay hain
Mashhad bula layn mola ashhar kay gharanay ko
Arman-e-ziarat yeh dil main liyay howay hain
890 Views