Mere Ghareeb Ko Lakhon Nay Milke

damishq may jo ghareebon ka kaarwan pahuncha
yazeed neyst ne darbaar may bula bheja
behan se sheh ki shahadat ka waqia poocha
tadap ke binte ali ne yazeed se ye kaha
zameen ki godh may islam ka sitara hai
mere ghareeb ko lakhon ne milke maara hai
haaye hussain pyase hussain

kaha yazeed se zainab ne sitam aara
ghazab kiya tere lashkar ne roze ashoora
mere hussain ko jangal may ghayr kar maara
ali ka kardiya barbaad ghar ka ghar saara
jo bekafan hai abhi tak nabi ka pyara hai
mere ghareeb ko lakhon ne milke maara hai
haaye hussain….

suhaag ujda kisi ka kisi ki kokh jali
kisi ka jalgaya daman rida kisi ki chini
kisi ki maang may karbobala ki khaak padi
nabi ki aal hai zindan may ya ali madadi
jahan may zainabe dilgeer be-sahara hai
mere ghareeb ko lakhon ne milke maara hai
haaye hussain….

ye ranjo gham ye sitam jor aur jafa kab tak
rasool zadiyan balwe may berida kab tak
rahegi qaid may aulaade murtuza kab tak
nabi ki aal par ye zulm naarwa kab tak
mujhe to maut hi aalam may ab gawara hai
mere ghareeb ko lakhon ne milke maara hai
haaye hussain….

871 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot