Haye Mazloom Hussain Mera | Nadeem Sarwar 2020

Haye Mazloom Hussain; Mera Mazloom Hussain
Asr-e-Ashoor Mera Laal bada pyasa hai

1)
Yeh Muhammad ka nawasa hai Ali ka Beta
Kya khata hai Mere Betey ki batao tu zara
zalimoon kyon isey be-jurm-o-khata ghera hai

Haye Mazloom Hussain; Mera Mazloom Hussain
Haye Mazloom Hussain
Asr-e-Ashoor Mera Laal bada pyasa hai

2)
Haye tanhaayee ka aalam key koi paas nahin
Haye Qasim nahin Akbar; nahin Abbas nahin
Ya Ali aao; Mera Laal; bada tanha hai

Haye Mazloom Hussain; Mera Mazloom Hussain
Haye Mazloom Hussain
Asr-e-Ashoor Mera Laal bada pyasa hai

3)
Aik din mein bharey lashkar ka bhi gham dekha hai
Is ney Abbas ka Akbar ka; bhi gham dekha hai
Dafn kar key Ali Asghar ko; abhi aaya hai

Haye Mazloom Hussain; Mera Mazloom Hussain
Haye Mazloom Hussain
Asr-e-Ashoor Mera Laal bada pyasa hai

4)
Haye chalni hai jigar phir bhi nahin roya hai
Kitney din sey Tu Mere Laal; nahin soya hai
Aa Meri goud mein soja Tu; bohat jaga hai

Haye Mazloom Hussain; Mera Mazloom Hussain
Haye Mazloom Hussain
Asr-e-Ashoor Mere Laal bada pyasa hai

5)
Aa-ee-ye behr-e-Khuda hashr; bapa hai Baba
shimr khanjar liye Baali pey; khada hai Baba
Aap key Pyare Nawasey ka; gala kat-ta hai

Haye Mazloom Hussain; Mera Mazloom Hussain
Haye Mazloom Hussain
Asr-e-Ashoor Mera Laal bada pyasa hai
Poetry : Nadeem Sarwar
Reciter : Nadeem Sarwar

https://www.youtube.com/watch?v=-qQ4SjZyEUg&t=151s

9,413 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot