Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Haiya Alal Aza Haiya Alal Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Ruke Ga
Ye Aasa Diya Hai Jo Hawaon Main Jale Ga
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Ruke Ga
Rukhsar Yazidi Pe Lage Ga Wo Tamacha
Jo Hath Azadar Ke Sine Pe Pade Ga
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Ruke Ga
Sheh Bole Ye Hathon Pe Utha Kar Sar E Maqtal
Hai Kon Jo Asgar Se Mere Baad Kare Ga
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Ruke Ga
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Sada Rahe Ga Hussain Ka Gham
Ye Shor E Girya Ye Shor E Matam
Zehra Ki Dua Hai Ye Matam
Ye Matam Kase Ruk Jaye
Ses Roz Ke Peyaso Se Ye Pani Ka Hai Wada
Konain Main Ab Koi Bhi Peyasa Na Rehe Ga
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Ruke Ga
Hurr Ban Ke Koi Aaye To Shabir Ki Janib
Ye Aasa Garana Hai Jo Mago Gy Mile Ga
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Ruke Ga
Akbar Ne Kha Sheh Se Ulat Du Ga Main Lashkar
Baba Mughe 2 Ghunt Agar Pani Mila Ga
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Ruke Ga
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Badshah E Karbala Deen Ka Hai Asra
Tari Majlis Tara Matam Zindagi Hai Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Qaim Ko Zara Aane Do Ghabat Se Takallum
Ik Halka Abhi Khaana E Kaaba Main Lage Ga
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Ruke Ga
4,191 Views