Khanjer talay Hussain(as) nay sajda kiya tamam
Lashoon ko rondnay lagay badbakht ahlay sham
Aey Layeen lootnay sadaat kay khayam
ghabra kay ro rahe thi wahan dukhtar e Imam
her soo nigah kerti thi khoof o Hiraas say
Bachi ka dam nikalta tha shiddat ki pyas sa
Aker ruki jo dasht main manzar alag mila
Asghar sa door lasha e Akbar alag mila
darya kinaray waris e chadaar alag mila
laikin her aik laash sa tha Sir alag mila
ankhoon main soch ker yeh andhraira sa chah gaya
baba ki laash maqtal e khoonkhaar khagaya
na gaah aik laash sir dasht phir mili
seenay sa lag k janib e sir jab nazar gaye
Aah o buqa laboon pa thi yak dam hi chup hui
phir todh ker sukoot Sakina tadap gaye
boli khudaya khair yeh laash e pidar nahi
Laashay kay sath to mere baba ka sir nahi
thi lab kusha sakina jo laashay pay aan ker
aye tan e bureeda say awaz noha gar
seenay pa apnay tumko sulata main aaj per
pamaal ho gaya hai badan kya keray pidar
main khoon e Mustafa(pbuh) hon shahe mushriqain hon
pehchan beti main tera baba Hussain hon
roker pukari dukhtar e shabeer Allahma
aey baba jaan kyu ho yahan khoon main nihaa
haye ghazab k jism pa zakhmoon kay hain nishaa
baba badan to khaak e tapan per hai sir kahan
sheh bolay dil dukhay na agar noor e ain ka
woh shimr bad kay hath main sir hai Hussain Ka
kehti thi kis shakhi na kia zulm yeh rawaan
sun ker yeh bat kehnay lagay shahe karbala
sir mera jis layeen na juda kheench ker kia
kheenchay ga woh hi zulm sa goher bhi me-laqaa
naizay kaheen sa door sa teer akay lagtay thay
zeen sa utar gaya tha to pathar barastay thay
beti ka apnay baap sa yun todhnay sukhan
aya layeen kareeb liya hath main rasan
aisa tamacha mara ugalta tha khoon dahan
laikan sakina sa na chuta sheh ka peh rahan
ati thi yeh sada badan e pash pash say
amma hatao aker Sakina ko Lash say
Qasim supa e Shaam thi maqtal main chaar so
roti rahe hai Joan Muhammad ki aabro
lashe pidar pa kaan sa girta raha laho
kya ab keroon sakina ki ghurbat pa guftugo
baba ki laash per yun dilasa diya gaya
rukh per tamachay mar k pursa dia gaya,