youn gira dosh e Payambar(saw) ka makeen maqtal main
Noha perhnay lagay Jibreel e amin Maqtal main
kis tarhan koi nazar ata kaheen maqtal main
Rooh e Zahra(sa) kay siwa koi nahi maqtal main
kehti hain behray madad aao dhuayee baba
lutt gaye dasht main kul mere kamaye baba
bain kerti theen Fatima Zahra(sa) haye lakhoon na mil k mara hai
mere ankhoon kay samnay baba mere pyasay ka sir utara hai
zakhmi pehlo pa hath rekhay hua
patharoon ko yahan sa chun ti thi
raat bhar is zameen ko zahra (sa)
apnay baloon sa saaf kerti thi
barchioon sa sitam garoon na jahan
is ko rahwaar sa utara hai
jantay thay shaheed hai phir bhi
saray ghar ko umeed thi is per
mainay jungle main di sada is ko
mere shabbir(as) na tahay khanjer
mere zainab(sa) na dasht e karbal main
sabnay abbas(as) ko pukara hai
aik pehloo sa doojay pehlu tak
iski her aik pasli tooti hai
dard kya hai sikhasta pehlu ka
Ma yeh achi tarhan samajhti hai
jaltay darwazay k talay mainay
dard ka waqt khud guzara hai
tera zarbain chalayeen zalim na
kund khanjer sa zulm dhaya hai
mere betay kay halq say pehlay
mere hathoon sa khoon bahaya hai
iski gardan pa hath tha mera
ab jo khanjer sa para para hai
kat gaya sir ghareeb e Zahra(sa) ka
pusht par shimr phir bhi betha raha
zakhmi hathoon sa main hatati rahe
woh magar fatihana hansta raha
kya kahoon kaise mainay zalim ko
pusht e Shabbir(as) sa utara hai
mere bachay ki reesh sa zalim
khoon hathoon ka saaf kerta tha
is ki wal-lail jaise zulfoon sa
sir e shabbir ko pakarta tha
maa na jin geesoun ko bachpan sa
ayatoon ki tarhan sanwara hai
apnay baba ko dhondnay kay liya
Ya ilahee Sakina(sa) aye hai
shimr rastay main mil gaya hai issay
kese ghurbat main aaj dadi hai
char barsoon ki mere pooti ko
baap kay qatiloon na mara hai
Boleen Akbar yeh Fatma Zahra (sa)
Shadiyanay bajanay waloon ko
khoon bolay ga mere betay ka
mere Zainab(sa) ko shaam janay do
faisla hoga shaam o koofa main
kaun jeeta hai kaun haara hai