Ke Roohe Hazrat-e-sarwar Nikaal Kar Le Aa
Rahay Khayaal Ke, Shabbir Ko Na Ho Eezaa
Hussain, Hussain, Hussain Pehle Hi Zakhmo Se Chur Chur Hua
Malak Pukara Ye, Mujh Say Na Ho Sake Ga Khudaa
Main Kis Tarha Se Nikaloon, Badan Se Jaan-e-Hussain
Bohat Hi Sakht Hay Ya Rab, Ye Imtehan-e-Hussain
Haey, Laga Hai Zakhm Tabar, Beh Raha Hai Sar Se Lahoo
Bhare Hain Khoon Mein Jaane Rasool Ke Gesu
Qareeb Jaake Rakhoon Dil Pe Kis Tarah Qaboo
Ke Is Lahoo Mein Tho Hai Fatema Ke Doodh Ki Bu
May Kis Tarha Se Nikaloon, Badan Se Jaan-e-Hussain
Bohat Hi Sakht Hay Ya Rab, Ye Imtehan-e-Hussain
Haey, May Phir In-aankhon Pe Dhaoon Sitam Ye Kya Hay Zaroor
Bichar Ke Jo Ali Akber Se Ho Gayeen Benoor
Nida Ye Aayi Dahan Se Nikaal Jaane Huzoor
Kaha Dahan Mein Tho Kaante Pade Hain Rabbe Ghafoor
May Kis Tarha Se Nikaloon, Badan Se Jaan-e-Hussain
Bohat Hi Sakht Hay Ya Rab, Ye Imtehan-e-Hussain
Nida Ye Aayi Ke Gardan Se Khynchna In Ki
Kaha My Kya Kahoon Garden Pe Chal Rahi Hai Churi
Churi Pakadke Ye Chillati Hay Koi Bibi
Na Zibha Kar Mere Bacche Ko Mai Duwa Doongi
May Kis Tarha Se Nikaloon, Badan Se Jaan-e-Hussain
Bohat Hi Sakht Hay Ya Rab, Ye Imtehan-e-Hussain
Haey, Nida Ye Aayi Ke Seene Se Qabz Kar Le Jaan
Kaha Wo Teeron Se Chalni Hay Aey Mere Rehmaan
Abhi Tho Maarke Barchi Hata Tha Ek Shaitan
Aur Ab To Hay Tahe Zaanuye Shimr Ye Quraan
May Kis Tarha Se Nikaloon, Badan Se Jaan-e-Hussain
Bohat Hi Sakht Hay Ya Rab, Ye Imtehan-e-Hussain
Haey, Nida Ye Aayi Ke Mazloomiyet Kay Rutba Shinas
Qamr Se Khynchle Kaabe Ki Jaan Be Waswaas
Kaha Malak Ne Tarap Kar Ba-dardo Hasrato Yaas
Qamar Tho Toot Gayi, Jabse Mar Gaye Abbas
May Kis Tarha Se Nikaloon, Badan Se Jaan-e-Hussain
Bohat Hi Sakht Hay Ya Rab, Ye Imtehan-e-Hussain
Falak Se Tab Hua Roohul Amee Ka Ran Mein Nuzool
Kaha Pukar Ke Muh Dhamp Lo Baraye Batool
Pisar Ke Laash Pe Kholegi Baal Binte Rasool
Sada Ye Thi Malakul Mauth Ki Ba Huzn Malool
May Kis Tarha Se Nikaloon, Badan Se Jaan-e-Hussain
Bohat Hi Sakht Hay Ya Rab, Ye Imtehan-e-Hussain
Haey, Isay Ye Hukm Hu Par-Fikr-Ye Hay Ay Yazdaan
Har Ek Juzv Hay Zakhmi Lagaaoon Haath Kahan
Khuda Pukara Ye Mushkil Karenge Hum Aasaan
Na Tu Nikaal Mere Aashiqe Ghareeb Ki Jaan
May Khud Nikal Raha Hoon Badan Se Jaan-e-Hussain
Ke Khatm Honay Ko Ab Hay Yeh Imtehan-e-Hussain