Main Hoon Aik Phool Aza Kahnay Ka

Main Hoon Aik Phool Aza Kahnay Ka

Kaise Karta Hai, Chaman Ashk Fishaani Suniye
Aik Masoom Ki Choti Si Kahaani Suniye
Jiski Roodaad Hai Khud Uski Zabaani Suniye
Bey Zabaa(n) Phool Ki Ayejaaz Bayaani Suniye
Karbala Walon, Ka Har Nakshe Qadam Taaza Hai
Ghuncha-o- Gul Mein Bhi Shabbir Ka Gham Taaza Hai

Mein Hoon Woh Phool, Joh Har Daawatey Matam Mein Raha
Mein Hoon Woh Phool, Joh Kausar Kabhi Zam Zam Mein Raha
Mein Hoon Woh Phool Joh Tat-heer Ki Shabnam Mein Raha
Mein Hoon Woh Phool Joh Abbas Ke Parcham Mein Raha
Meri Har Phool Se, Taaseer Juda Milti Hai
Meri Khushboo Se Mareezon Ko Shifa Milti Hai

Aik Masoom Ki Choti Si Kahaani Suniye

Sabz Patton Se Mili Mujhko Hasan Ki Chaahat
Khoon-e-Sarwar Ki Badaulat Hai Yeh Meri Rangat
Mujhko Asghar Ke Tabassum Se Mili Hai Shohrat
Rishta-e- Khaak-e-Shifa Ne Mujhe Bakshi Nak-hat
Meri Takhleek, Hui Ajr-e-Risalat Ke Liye
Mein Chuna Jaata Hoon Iz-haare Aqeedat Ke Liye

Aik Masoom Ki Choti Si Kahaani Suniye

Karbala Waale Bahaatar Pa Fida Rehta Hoon
Mein Azakhaane Ki Chaukatt Pa Saja Rehta Hoon
Mein Muharram Mein Sada Mehw-e-Aza Rehta Hoon
Zikr-e-Asghar Ki Badaulat Mein Khila Rehta Hoon
Aik Beysheer, Ne Bakshi Hai Yeh Daulat Mujhko
Hai Muharram Mein Bhi Hasney Ki Ijazat Mujhko

Aik Masoom Ki Choti Si Kahaani Suniye

Logh Taaboot Ki Chaader Mein Sajaate Hain Mujhe
Taziyaa Khanon Mein Kiss Shaan Se Laate Hain Mujhe
Apne Bachon Ko Tabaruk Mein Khilatey Hain Mujhe
Mein Joh Girr Jaoon Toh Palkon Se Uthatey Hain Mujhe
Khush Naseebi Hai, Meri Shah Ke Gham Tak Jaana
Meri Meraj Hai Ghazi Ke Alam Par Jaana

Aik Masoom Ki Choti Si Kahaani Suniye

Mein Hoon Suraj Ka Dulaara Mein Hawaon Ka Habeeb
Kaam m-Mera Hai Niraala Toh Meri Shaan n-Ajeeb
Aasmaanon Se Bhi Ooncha Hai Bohat Mera Naseeb
Mujhko Parcham Mein Jaga Milti Hai Panjey Ke Qareeb
Naam-e-Abbas, Ki Tas-beeh Parha Karta Hoon
Guftagu Mashk-e-Sakina Se Kiya Karta Hoon

Aik Masoom Ki Choti Si Kahaani Suniye

Dard Samjhe Toh Koi Kaash sh-Mere Haaron Ka
Saath Acha Nahi Lagta Hai Mujhe Khaaron Ka
Shaukh Hai Taaj Ki Zeenat Ka Na Dastaaron Ka
Muntazir Rehta Hoon Gulshan Mein Azadaron Ka
Taaziye Par Mujhe Le Jaake Charha Dete Hain
Saare Nabiyon Se Meri Shaan Barha Dete Hain

Aik Masoom Ki Choti Si Kahaani Suniye

Badnaseebi Hai Kisi Aur Taraf Jaane Mein
Mujhko Mil Jaey Jaga Shah Ke Kashaane Mein
Lutf Khilney Ka Nazar Aayega Murjhaane Mein
Mein Bohat Chain Se Rehta Hoon Aza Khaane Mein
Aarzoo Jiski Hai Mujhko Wohi Taameer Miley
Kuch Miley Ya Na Miley Roza-e-Shabbir Miley

Aik Masoom Ki Choti Si Kahaani Suniye

Bezabaa(n) Ki Bhi Ibadat Ke Saleeqey Dekho
Mera Kaaba Mera Qibla Mere Sajdey Dekho
Kitne Mazboot Hain Shabbir Se Rishtey Dekho
Aao Samaan-e-Aza Mein Mere Tukrhey Dekho
Lutf Khilne Ka Mila Hai Mujhe Murjhaane Mein
Aakhiri Saans Joh Guzri Hai Aza Khaane Mein

Aik Masoom Ki Choti Si Kahaani Suniye

Aa Rahi Thi Daro Deewar Se Halmin Ki Sada
Mere Kaanon Ne Bhi Awaaz Ko Mehsoos Kiya
Phool Ghabraey Bahaaron Ne Chaman Chorh Diya
Shor Uthta Tha Ke Yeh Kaisi Qayamat Hai Bapa
Nusrat-e-Haq Ke Liye Mein Bhi Zadey Teer Mein Tha
Roze Aashur Safey Asghar-e-Baysheer Mein Tha

Daasta Phool Ki Kitni Hai Anoo Ki Likhi
Dekhna Joh Bhi Suneyga Nahi Bhooley Ga Kabhi
Jis Taraf Dekho Udhar Khuld Ki Khushboo Hai Bassi
Aaj Kazim Ko Dua Degi Naseem-e-Sehri
Aaley Ath-haar Ki Seeney Mein Mohabbat Rakhe
Uske Har Phool Ko Allah Salamat Rakhe

Aik Masoom Ki Choti Si Kahaani Suniye

 

https://youtu.be/IXLTwlsyX1U
1,986 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot