Laashe Uthane Wale Ka Laasha Na Uth Saka
Aise Gira Zameen Pe Pyaasa Na Uth Saka
Maa Rokti Hi Reh Gai Khanjar Ruka Nahi
Sar Kaat Kay Hussain (as) Ka Jab Le Gaya Laeen
Gardan Se Maa Ne Hath Uthaya Na Uth Saka
Beti Ghareeb Baap Ke Laashe Se Jab Milli
Shaana Hilla Hilla Ke Utha Ti Hi Reh Gayi
Haye Magar Sakina (sa) Se Baba Na Uth Saka
Bete Ko Maa Ki Gowd Mei Aisa Sukoon Milla
Usko Khabar Hi Na Huwi Khanjar Kab Chala
Thak Kar Hussain (as) Ghum Se Jo Soya Na Uth Sakka
Tooti Sinna Jawaan Ke Sinne Se Khench Kar
Bete Ki Laash Baap Se Uth Tho Gayi Magar
Ulja Huwa Sinna Mei Kaleja Na Uth Saka
Asghar (as) Ko Jab Lehad Mei Utaara Hussain Ne
Phir Se Galle Lagana Jo Chaaha Hussain (as) Ne
Che Maa Ka Hussain (as) Se Bacha Na Uth Saka
Abbas (as) Aur Hussain (as) Ki Ghurbat Ka Woh Safar
Bhai Tarapta Reh Gaya Bhai Ki Laash Par
Tooti Huwi Kamar Thi Janaza Na Uth Saka
Zindaan e Shaam Touq Wo Zanjeer Beriyan
Mushkil Mei Saath Dene Challi Aayi Bibiya
Abid (as) Se Jab Sakina (sa) Ka Laasha Na Uth sakka
Zeeshan O Fatemah Wo Chali Jab Suey Watan
Khoon e Hussain (as) Dekh Kay Roti Rahi Behan
Zainab (sa) Se Apne Bhai Ka Kurta Na Uth Saka
https://youtu.be/5UFOKCvgya8
722 Views