Labbaik Ya Shahe Huda
sunke hal min ki sada jhoole se ek mehlaqa
de raha hai ye sada labaik ya shahe huda
nasire karbobala aakhri fidya tera
tujhko deta hai sada labaik ya shahe huda
sunke hal min…
phir saje karbobala phir ho sar tan se juda
phir fida hoo phir fida ho saka kab haq ada
khafila jis dam chala ek nanha sa gala
naize se kehta raha labaik ya shahe huda
sunke hal min…
isko kya jaane udoo kaun hoo mai kaun tu
tu sada hai mai hoo loo jo bahay mera lahoo
phaynkna mat arsh par phaynka mat farsh par
khoon hai na-haq mera labaik ya shahe huda
sunke hal min…
arsh saara hil gaya goonji asghar ki sada
asr ka waqt aagaya baba tanha hai mera
do khuda walon sada arsh walon do sada
farsh walon do sada labaik ya shahe huda
sunke hal min…
aandhiyon ka wo zor tha andhera charon aur
bas zameeen se ta-falak wa hussaina ka tha shor
di jo asghar ne sada di malaik ne sada
di khalaik na sada labaik ya shahe huda
sunke hal min…
keh raha hai ye khuda keh rahe hai mustafa
keh rahe hai murtaza keh rahe hai mujtaba
ambiya ne bhi kaha auliya ne bhi kaha
ausiya ne bhi kaha labaik ya shahe huda
sunke hal min…
karbala hai ye naved aaena hai ye naved
silsila hai ye naved tazkira hai ye naved
usne hi paayi baqa marke bhi zinda raha
jisne jeete ji kaha labaik ya shahe huda
sunke hal min…
685 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot