Bayan Karne Ko Yun To Duniya
Sharaf Bayan Karti Hai Sabhi Ke
Magar Jo Akhlay Saleem Rakhta
Hai Jaanta Hai Siwa Nabi Ke
Nahi Hai Koi Ali Se Behtar
Koi Nahi Hai Koi Nahi
Siwa Nabi Ke
Hunain-o-Badr-o-Ohad Se Poocho
Amal Ke Do Neem Sar Se Poocho
Ali Ki Do Ungliyo Ki Taaqat
Hai Kya Ye Khyber Ke Dar Se Poocho
Qasam Khuda Ki Misale Hyder Koi Nahi Hai Koi Nahi
Siwa Nabi Ke
Ghadeer Se Jabke Maine Poocha
Hai Tujhko Maloom Saar Kissa
Siwa Ali Ke Hai Aur Koi Banaya Jisko Nabi Ne Maula
Tadap Ke Bola Ye Khum Ka Mimbar Koi Nahi Hai Koi Nahi
Siwa Nabi Ke
Ali Ki Talwaar Chal Rahi Hai
Nabi Ka Chehra Damak Raha Hai
Koi Data Hai Ohad May Koi Nazar Bachakar Sarak Raha Hai
Nabi Ke Paas Ab Siwaye Hyder Koi Nahi Hai Koi Nahi
Siwa Nabi Ke
Lagaye Wo Naaraye Salooni
Madina-e-ilm Ka Jo Dar Ho
Nabi Ke Farmaan Ke Mutabiq Jidhar Ko Mud Jaye Haq Udhar Ho
Siwaye Hyder Ke Aisa Rehbar Koi Nahi Hai Koi Nahi
Siwa Nabi Ke
Chali Jo Binte Asad Jo Badkar
Dewaare Kaaba Ye Boli Has Kar
Isi Tarha Aur Isi Jagah Par
Khadi Thi Ek Din Ek Aur Maadar
Magar Tumhare Sharaf Se Badkar Koi Nahi Hai Koi Nahi
Siwa Nabi Ke
Patak Rahi Hai Sar Apna Maujay
Kataye Baazu Pada Hai Saqqa
Ajeeb Aalam Hai Bekasi Ka
Hussain Ran May Khade Hai Tanha
Alam Alamdar Aur Lashkar Koi Nahi Hai Koi Nahi
Siwa Nabi Ke
Sina Kaleje Pe Khaaye Beta
Pyasa Karwat Badal Raha Hai
Hussain Hasrat Se Dekhte Hai
Jawan Ka Dam Nikal Raha Hai
Sahara Dede Zara Jo Badkar Koi Nahi Hai Koi Nahi
Siwa Nabi Ke
Tamam Bhai Bhateeje Bete
Pade Hai Maqtal May Sar Kataye
Tamam Saathi Bichad Chuke Hai
Koi Nahi Jo Mada Ko Aaye
Khade Hai Ran May Akele Sarwar Koi Nahi Hai Koi Nahi
Siwa Nabi Ke