Kis shan say utha hai haye ghazi alam tera
Har ankh roo rahi hai, seenay main hai gham tera
Qayam hai teray dam say rasmay wafa jahan main
Ho ga na zamanay main, parcham kabhi kham tera
Hai toor diye koozay masoom sakina nay
Jab aatay howay dekha hai khali alam tera
Zainub ko nazar aaye nayzay pay rida apni
Jab khon main tar deekha abbas alam tera
Thi sham-e-ghareban main hai maut ki khamooshi
Zainub nay diye pehray hai lay kay alam tera
Mola nay kaha ro kar hai tooti kamar meri
Girtay howay jab dekha mola nay alam tera
Zainub nay yeh maqtal main tujh say tha kiya wada
Har ghar main lagawoon gi abbas alam tera
Hai sham ki rahoon main rotay howay bachoon ko
Zainub nay sulaya hai dikhla kay alam tera
Sardar jo hota hai aaghaz muharram ka
Hum roo kay sajatay hain abbas alam tera
835 Views