Khayaal-e-Fatima Deen Ki Hai Abroo Zainab.
Ali Imam Ki Sajdon Main Aarzoo Zainab.
Hay Zay Say Zeenat-e-Ajdaad Ye Say Yakta Hay
To Noon Say Yeh Naboowat Ki Mohsina Ttheri
Jo Bay Kay Raaz Ko Kholoon To Bay Ali Mola
Thi Baab-e-Ilm Ki Beti Muallima Ttheri
Misaal-e-fatemah Zehra Hay Hoobahoo Zainab
Mujhay Hussain Ki Bemisl Sajdahgah Ki Qasam
Kaheen Na Hoteen Namaz-o-Quraan Ki Baatain
Manaat-o-Laat Ki Pooja Bahaal Ho Jaati
Na Koi Karta Dehr Main Eemaan Ki Baatain
Sunaanay Khutbay Jo Jaati Na Koobakoo Zainab
Janab-e-Akbar-e-Zejaah Ki Parwarish Karkay
Muqaam-e-Aamina Khaaliq Say Paa Gai Bibi
Janaab-e-Aabid-e-Beemaar Ki Baqa Kay Liyay
Dayaar-e-Shaam Main Sir Nangay Aagai Bibi
Ali Ki Tarah Thi Baatil Kay Roobaroo Zainab
Ajeeb Aalam-e-Ghurbat Tha Shaam Main Logo
Rasan Main Qaidi Thee Baalon Say Moon Chupayay Huay
Chahaar Simt Say Honay Lagi Thi Sangbaari
Hui Jo Daakhil-e-Bazaar Sir Jhukayay Huay
Bachaati Deen Ko Hogai Lahoo Lahoo Zainab
Kabhi Sakeena Ko Deti Rahi Dilaasay Wo
Kabhi Rubab Ka Ghurbat Main Gham Banati Thi
Kabhi Sajjad Kay Ashkon Ko Saaf Karti Thee
Kabhi Wo Farwa Ko Apnay Galay Lagaati Thi
Bari Katthin Thi Jo Karti Thi Justujoo Zainab
Janaab-e-Syed-e-Sajjad Aik Din Logo
Chalay To Gir Paray Qadam Uttha Na Sakay
Yun Shimr Koray Ko Lehraata Aagaya Yakdum
Haram Zaeef Ko Maloon Say Bacha Na Sakay
Ajeeb Yaas Say Takti Thi Chaar Soo Zainab
Hujoom-aam Say Guzri To Aik Aurat Nay
Ali Ki Beti Ko Pathar Uttha Kay Maara Tha
Baha Jo Khoon To Chehray Pay Ik Naqaab Bana
Yeh Pardadaar Ki Fatha Ka Ik Ishaara Tha
Chalee Thi Jaanib-e-darbaar Surkhuroo Zainab
Dayaar-e-Ghair Main Tauqeer Pardaydaari Ko
Ali Ki Beti Nay Kuch Iss Tarah Sajaya Tha
Banaya Baalonn Say Parda To Sir Pay Khaak-e-shifa
Zubaan Pay Lehja-e-Shair-e-khudda Sajjkaya Tha
Ali Kay Lehjay Main Karti Thi Guftagoo Zainab