Kesay Pardees main Kazim, pay zamanay aye
Haye mazdoor janazay ko, uthanay aye
1- Choor aye hain Najaf, aur Madina saray
Tou lawaris nahe ZAhra kay, hain betay pyaray
Han mera lal tujhay saray, laijanay aye
2- Ho gaye Qaid khatam, Mosa Kazim meray
Qaid khanay say nikal aao, main sadqay teray
Bakiyya walay hain tera soug, mananay aye
3- Baap zinda’n main hai, ghar mein hai soug bapa
betiyan Mosa e Kazim ki, yeh deti hain sada
Kash kay baba humain seenay, laganay ayeen
4- Qaid main kehtay rahay, sathway meray Imam
Haye Kazim ya Sakina ho, ya baghdad ya sham
Hum Tu nana hai tera deen, bachanay aye
1,104 Views