Kaisay Darbar Mein Gaee Hogi Hai Nabuwat Ki Abroo Zahra
Has Rahay Hain Taman Kalma Go Kerti Ro Ker Jo Guftagoo Zahra
Jo Masaib Batool Per Aaey Din Pay Pertay To Raat Hojati
Karti Jo Bud Dua Kabhi Zahra Khatm Ye Qainat Hojati
Baad Baba Kay Na Sakoon Paya Kaisay Jeeti Rahi Hai Tu Zahra
Tere Shabeer Nay Kerbal May Deen Bachanay Ko Sar Kataya Hai
Teri Sunnat Ada Ki Zainab Nay Khutba Darbar Mei Sunaya Hai
Tu Sahaabi Kay Samnay Roee Vo Sharabi Kay Ru Ba Ru Zahra
Kabhi Yasrab Ki Paak Basti Mei Kabhi Kerbal Kay Hee Biyabaan Mei
Kabhi Kufay Ki Tang Galion Mei Ore Kabhi Shaam Valay Zindaan Mei
Deen Ki Sarfarazi Ko Her Dum Kaam Aaya Tera Lahu Zahra
Jo Tera Ghar Jalanay Aaya Hai Vo To Jannat Mei Ja Nahien Sakta
Jo Tere Ghar Pay Ro Diya Hai Kabhi Usko Dozakh Jala Nahien Sakta
Uski Bakhshish Hasan Nahien Hogi Jo Bhi Hoga Tera Adu Zahra
Ye To Sub Ravion Nay Likha Hai Hashr Mei Jub Batool Aaeyngi
Khoon Bhara Kurta Saath Bete Ka Bazoo Abbas Kay Vo Laeyngi
Matami Jo Hussain Ka Hoga Usko Kardaygi Surkhuru Zahra
Jo Tera Ghar Jalanay Aaya Hai Vo To Jannat Mei Ja Nahien Sakta
Jo Tere Ghar Pay Ro Diya Hai Kabhi Usko Dozakh Jala Nahien Sakta
Uski Bakhshish Hasan Nahien Hogi Jo Bhi Hoga Tera Adu Zahra