Juda Zainab Say Na Karo Logo

Juda Zainab say na kero logo rida meri wirasat hai..

Sani)
Sazayen jitni bhi day do mujhay manzoor hai lekin Haya meri virasat hai..

Antra)
Larnay ko mera Ghazi aa jaye phir say ran main gira itna soch loo’n tou
Main fakhr e kun ki beti hoon mujhay bay Bas na samjho tum dua meri wirasat hai..

Antra)
Haider ki ladli hoon waris imamato ka mitnay kabhi na doo’n gi
Sitam main naqsh e Ahmad ko bachana meray dada ki Ada meri wirasat hai..

Antra)
Ek baat yad rakhna touqeer meray ghar ki Allah hi janta hai
Sitam jitnay bhi hon mujh pay magar har haal main shukar e Khuda meri wirasat hai..

Antra)
Tatheer ki amaa’n main esmat kay gulistaa’n main logo palli barhi hoon
Hassan Shabir kay hotay main Zainab hoon yehi sab say juda meri wirasat hai..

Antra)
Yasrab main tha phiraya qaidi bana kay jisko touqeer hoon main uski
Qasam baba ki rasiyon ki samajhti hoon aseeri main saza meri wirasat hai..

Antra)
Shabir aay Khuda nay lazim kaha yeh hoga Zainab say itna kehna
Lutaya ghar ko hai tu nay kay ab say jo bhi hai teri raza meri warasat hai..

Shared via Nohay Writeups for iOS

991 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot