Jangal Pahaad Karte Hai Nad-e-Ali Ali

Jangal Pahaad Karte Hai Nad-e-Ali Ali
mushkil ko meri hal karo mushkil kusha ali
hussain hussain hussain

ruksat ko ahlebait-e-nabi may gaye imam
qadmo pe lotne lagi saydaniya tamam
wo shor al-firaaq ka wo yaas ke kalaam
bache bhi sar patak- te thay le le ke sheh ka naam
rote thay yun to lipte hue sab hussain se
lekin kaleje phat-te thay zainab ke bain se
hussain hussain hussain

us waqt tha ajab sheh-e-deen par hoojume yaad
dhalna wo do pahar ka hua nim loo o pyaas
laashe pare hue thay azeezo ke aas paas
rokar falak ko dekhte thay shah-e-haq janas
ut-ta tha darde dil to qadam larkharate thay
farmake ya-ali-e-wali baith jaate thay
hussain hussain hussain

bhai ke sar ko chati se lipta ke ye kaha
batlao kya irada hai ay mere mehlekha
daste adab ko jodke bola wo bawafa
pyasi sakina marti hai ya shah-e-karbala
guzre hai teen din yuhin is pusht pa par
gar izn ho to pani ko jaun faraat par
hussain hussain hussain

ya cha chuke thay ghore pe abbas-e-haq shanaas
aaye sada bhatiji ki sunte hi dar ke paas
boli ye mashq deke sakina ba dard-o-yaas
qurban ammu jaan bujhado hamari pyaas
phat-ta hai dil atash se kaleja kabab hai
sakh-khayi kijiye ke ye kaare sawab hai
hussain hussain hussain

abbas ne kaha ke mera faqr hai ye kaam
bibi tumhare baap ka adna hai ye ghulam
di tumne aabru mujhe ay dukhtare imam
ab hogaya jahan may bahishti hamara naam
kausar mai samjhu dosh pe gar mashke aab ho
tum bhi due karo ke chacha kamiyab ho
hussain hussain hussain

chaati tak usne pani ko dekha jo ek baar
ghode ka dil hua sifat-e-mauje beqaraar
hasrat se moo phira ke nazar ki suye sawaar
bole ye baat jod ke abbase naamdar
tu pile ay faraz ke bahot tishna-kaam hai
hampar to be-hussain ye pani haram hai
hussain hussain hussain

bouchaar yek-bayak hui teero ki hai ghazab
tayghe chali aqab se shareero ki hai ghazab
ye shakl do jahan ke ameero ki hai ghazab
bujhne na paayi pyaas sagheero ki hai ghazab
naize thay aur chand se pehlu diler ke
teero ne chaan dala safeene ko sher ke
hussain hussain hussain

shane se yu ubal ke baha khoon ke al-amaan
thirra ke jhoomne lage abbas-e-nowjawan
machli ki tarha haath to reti pe tha tapan’
lekin juda na hoti thi qabze se ungliyan’
biddat hogayi thi jo is tafdari ke saath
talwar bhi tadap ti thi daste jari ke saath
hussain hussain hussain

raste may larkharate thay jab zoef se qadam
akbar sambhaal lete thay baba ko dam-ba dam
farmate thay tarap ke pisar se shahe-umam
jo haal ho baja hai ke bhai ka hai alam
baazu parak ke dilbare zehra ko le chalo
beta chacha ki laash pe baba ko le chalo
hussain hussain hussain

ghul pargaya ke sheh ke alamdar haaye haaye
ay noore chasme hydare karaar haaye haaye
ay ibne fathima ke madadgar haaye ha haaye haaye
ay fauje sheh ke jaafare tayyaar haaye haaye
chote se haath rakh ke dile dard naak par
de maara sar ko bali sakina ne khaak par
hussain hussain hussain

2,682 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot