
Jab Rida Sar Se Chini Mai Sadaa Deti Rahi Tu Na Aaya Ghazi
Aale-Imraan Kahaan, Aur Zindaan Kahaan
Ye Behen Qaid Huwi, Tu Na Aaya Ghazi
Hamko Paani Na Mile, Teri Khushbu Toh Rahe
Tere Baazu Na Kate, Chaahe Mashkiza Chhide
Yeh Magar Ho Na Saka, Tere Baazu Hai Judaa,
Mujhpe Hai Tashna-Labi, Tu Na Aaya Ghazi
Dhup Mai Tu Thaa Shajar, Tujhse Aabaad Thaa Ghar
Hai Barehna Mera Sar, Kya Nahin Tujhko Khabar
Ay Alamdaare-Wafaa, Is Behen ko bakhuda
Tujhse Dhaaras Thi Bari, Tu Na Aaya Ghazi
Aagayi Shaam-e-Alam, Lutgaye Ehle-Haram
Ret Par Jalti Huwi, Hogaya Thanda Alam
Pursaa Dene Ke Liye, Mujhse Milne Ke Liye
Aagaye Baba Ali, Tu Na Aaya Ghazi
Kya Kahun Sher Mere, Beridaa Hamko Liye
Ye Musalmaa(n) Saare, Shehr dar Shehr Gaye
Khilqate Kufa Kabhi, Khilqate Shaam Kabhi
Aur Haa(n) Ham Pe Hassi, Tu Na Aaya Ghazi
Kitni Bebas Thi Behen, Ai Shehenshaahe Wafaa
Naam Leleke Mera, Jab Ye Zaalim Ne Kahaa
Naaz Tha Jispe Tujhe, Ab Bulaaona Usse
Aur Mai Roti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi
Qaid Khaane Mai Qazaa, Jab Sakina Ko Mili
Deke Kurte Ka Kafan, Bacchi Dafnaayi Gayi
Us Ghari Naam Tera, Surate Naade-Ali
Dukh Mai Dohraati Rahi, Tu Na Aaya Ghazi
Roya “Rehan” Kalam, Karke Yeh Baat Raqam
Khun Mai Dub Gaya, Mere Ghazi Ka Alam
Zakhmi Zainab Ka Jigar, Khun-Fishaan Shah Ka Sar
Aaye Khaimon Mai Shaqi, Tu Na Aaya Ghazi