Jab Chaand Muharram Ka Aata Hai Nazar Logon

Jab Chaand Muharram Ka Aata Hai Nazar Logo

Zara Socha Karo Kis Tara Ujra Ho Ga Khatoon Ka Ghar Logon

Is Chaand Me Ujri Hai Beemar Ki Ummeedein
Dukhia Ne Guzri Hai, Rotay Huey Do Eidein
Phir Bhi Na Milli Karbala Se Aanay Ki, Akbar Ki Khabar Logon

Ye Chaand To Chamka Hai Aflaak Ke Seeney Pe
Zahra Ka Chaand Chupa Hai, Haye Khak Ke Seeney Main
Khoon May Nehladiya Teeron Aur Talwaron Se, Haider Ka Pisar Logon

Akbar Ki Azaan Aisay Goonji Hay Zamanay May
Nabiyown Ne Suni Aake Karbal Kay Veeranay May
Laila Kay Chaand Ka Cheer Dala Hay Paal May Barchi Ne Jigar Logon

Zehra Kay Bharay Ghar Ko Ummat Ne Rulaya Hai
Shabbir Ki Gardan Pe Khanjar Bhi Chalaya Hai
Mustafa Ko Diya Kalma Parnay Walon Ne Kya Khoob Ajar Logon

Zainab Bhi Chaleen Ghar Se Ghazi Ke Saharay Pe
Sojaye Ga Jo Ja Kar Darya Ke Kinaray Pe
Aur Nabi Zadiyan Sar Barehna Jayengi Karnay Ko Safar Logon

3,037 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot