Hussain tu kamyaab hogaya
ya hussain (x4)
hussain tu ne dee(n) bacha ke kamyaab hogaya
aye maqsad e yazid tu na kamyaab hai
mera hussain sir katake (zindabad hogaya x3)
*hussain tu kamyaab hogaya
yazid tu na kamyaab hai (x2)
(1) hussain tum ne nana ka wada nibhaliya
hussain tum ne sir katake dee(n) bachaliya
pani jo tumse chin liya sabr tho kiya
hussain tu kamyaab kamyaab hogaya
hussain tu kamyaab hogaya
yazid tu na kamyaab hai (x2)
(2) yazid jhoota khaath bhija ke dhooka de diya
noor e khuda pe tune jo khanjar chala diya
ghareeb ka jo khoo(n) baha kar qatl kar diya
yazid tu tho ab bhi na muraad hogaya
hussain tu kamyaab hogaya
yazid tu na kamyaab hai (x2)
(3) (yeh farsh e aza x3) tera liye bichti hai shabbir
tum deen e islam ki tasweer hu shabbir
tera naam se milti hai shifa aye mere shabbir
ya hussain aati hai parcham se sada
hussain tu kamyaab hogaya
yazid tu na kamyaab hai (x2)
(4) koshish kiya yazid ne na ho saka wo kaam
hussain ne jo sab ke liye dediya wo jaan
wo ahle aza aaj bhi lete hai uska naam
tu ab bhi zindabad hai hussain
hussain tu kamyaab hogaya
yazid tu na kamyaab hai (x2)
(5) yazid ka tho qabr ka nishan bhi nahi
yazid ka quran me bayan bhi nahi
yazid ki wo nasl ka koyi pata nahi
yazid wo murdabad murdabad hi rahega
hussain tu kamyaab hogaya
yazid tu na kamyaab hai (x2)
(6) aye mazhar o rizvi o syed raza hussain
ta hashr rahegi ye azadari aye hussain
ye farsh e aza bichti rahegi mere hussain
shabbir baherehal tera naam rahega
hussain tu kamyaab hogaya
yazid tu na kamyaab hai (x2)
salam….
salam….
salam ya hussain (x3)