●Labaik Allahuma Labaikh
●Labaik Allahuma Labaikh
●Labaik Allahuma Labaikh
●Hussain Ruk Jao
●Hussain Ruk Jao
●Hussain Ruk Jao
●Sadayain Daita Hai Kaaba Hussain Ruk Jao
Sadayain Yeh Daita Hai Kaaba Hussain Ruk Jao
●Na Badlo Hajj Ka Irada
Hussain Ruk Jao
●Tum Apne Jad Makaan Main Ho Bai Darar Nahi
Hussain Mujhko Zamane Ka Aitebar Nahi
Hai Sath Sani e Zehra
Hussain Ruk Jao
●Tumharay Paon Pakarti Hai Sar Zameen e Haram
Khuda Kay Wastay Agai Na Ab Barhao Qadam
Na Jao JanIb e Kufa
Hussain Ruk Jao
●In Hajio Ki Zara Bhi Nahi Hai Fikr Mujhay
Hai Bas Yeh Fikr Kay Gar Ap Mujh Ko Chor Gaye
Mera Bhi Hajj Nahi Hoga
Hussain Ruk Jao
●Kaho Rabab Say Baisheer Ko Bhi Lai Ao
Ali Ki Tarha Yahan Par Maqeem Hojao
Tumhara Bacha Hai Chota
Hussain Ruk Jao
●Ali Ko Qaidi Banaya Gaya Madine Main
Suna Hai Bibi Ko Mara Gaya Madine Main
Arey Sunao Gurbat e Zehra
Hussain Ruk Jao
●Karaingain Jashan Kay Yom e Ameer Hai Nazdeek
Ghareeb e Zehra Na Jao Ghader Hai Nazdeek
Parhain Mil Kay Qasida
Hussain Ruk Jao
●Suna Hai Karbola Main Bala Ki Garmi Hai
Tumhai Pata Hai Isay Kitni Pyas Lagti Hai
Hai Sath Bali Sakina
Hussain Ruk Jao
●Laeen Phirtay Hain Ahraam Main Liye Khanjer
Tum Apni Behno Ko Lai Ao Kaabe Kay Andar
Har Ek Simt Hai Khatra
Hussain Ruk Jao
●Jo Guzri Tum Pay Musibat Unhai Suna Dai
Samajh Kay Marqad e Zehra Diya Jala Daina
Yahin Hai Qabr e Khadija
Hussain Ruk Jao
●Unhai Khabar Hai Na Chorain Gi Tum Ko Wo Tanha
Tumhari Maa Say Ziada Chala Nahi Jata
Hai Un Ka Phelu Shikasta
Hussain Ruk Jao
●Wo Gham Imam Ka Sajjad Kis Tarah Likhai
Nikal Kay Makkah Say Kitna Hussain Roye Thay
Bulata Reh Gaya Kaaba
Hussain Ruk Jao