Bahan ke samne kaata gaya Hussain ka sar
Utha ke roti rahin Fatima Hussain ka sar
Zameen pe aise giri phir nahi uthi Zainab
Jab uske samne kat kar gira Hussain ka sar
Kabhi gala kabhi gardan pe maan ne haath rakha
Badan se hogaya phir bhi juda Hussain ka sar
Unhein sanwara hai Zahra ne apne haathon se
Ae Shimr baalon se yun na uthaa Hussain ka sar
Jahan pe rakha tha sandook mein sar-e-Akbar
Situmgaron ko waheen se mila Hussain ka sar
Khushi manata tha Khuli, Batool roti theen
Jab ek tanoor mein rakha gaya Hussain ka sar
Situmgaron ne kate sar ki bhi ragen kaateen
Safar mein aur bhi zakhmi hua Hussain ka sar
Pakad ke baal Sakeena ko Shimr ne maara
Jab uske samne la kar rakha Hussain ka sar
Lipat ke sogayi Zeeshan baap se beti
Andheri qaid mein jis dam mila Hussain ka sar
Shared via Nohay Writeups for iOS